Qurbaani Ke Masail
✯✰✮
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*✿ Qurbaani ka tareeqa ✿*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾
❧ Qurbaani karne ka tareeqa yeh hai ke jaanwar ko baayeen karwat par is tarah litaaye ke us ka munh qible ki taraf ho aur pairon ko baandhde, phir yeh dua padhe:
إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَأوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ
(lnnee wajjahtu wajhiya lillazee fatarassamaawaati wal arza haneefanw wamaa anaa minal mushriqeena inna salaatee wa nusuki wa mahyaaya wa mamaatee Iillaahi rabbil aalameena laa shareeka lahoo wa bizaalika umirtu wa anaa awwalul muslimeen)
📓 [Ibne Maaja: 3121]
❧ Yeh dua padhne ke baad jis ki taraf se qurbaani karni hai us ki taraf se dil mein niyyat karle phir
بِسْمِ اللهِ اَللهُ أَكْبَر
(Bismillaahi allaahu akbar) keh kar tez chhuri se zabah kare.
❧ Behtar yeh hai ke apni qurbaani ka jaanwar apne haath se zabah kare, agar khud na kar sake to doosre se zabah karaaye aur khud saamne khada rahe.
📓 [Shaami: 26/260, Kitaabul Uzhiyyati]
*❧ Masla :* Jaanwar ki gardan mein 4 ragein hoti hain: Ek giza ke liye, Ek saans ke liye aur 2 khoon ke liye, in mein se 3 ka kat jaana zaroori hai, agar sirf 2 kateen to yeh jaanwar murdaar hoga.
📓 [Shaami: 26/151, Kitaabuz Zabaaeh]
*❧ Masla :* Jaanwar zabah karne ke baad jab tak jaan poori tarah nikal na jaaye aur izteraabi kaifiyat khatm na hojaaye, us waqt tak chamde ka chheelna, gardan ka alag karna ya jism ke kisi hisse ka kaatna makrooh hai.
📓 [Shaami: 26/156, Kitaabuz Zabaaeh]
*✿ Qurbaani ka gosht ✿*
❧ Behtar yeh hai ke qurbaani ke gosht ke 3 hisse kare, ek hissa ghar ke liye rakhe, ek hissa gareebon par sadqa kare aur ek hissa rishtedaaron mein taqseem kare.
📓 [Shaami: 26/262, Kitaabul Uzhiyyati]
*❧ Masla :* Qurbaani ka gosht gair muslimon ko bhi dena jaaiz hai.
📓 [Fataawa Mehmoodiya Jadeed: 17/434]
*❧ Masla :* Agar mayyit ki taraf se nafli qurbaani ki to us ka bhi yahi hukm hai, lekin agar mayyit ki wasiyyat par us ke maal se qurbaani ki hai, to us ke tamaam gosht ka sadqa karna waajib hai.
📓 [Shaami: 26/257, Kitaabul Uzhiyyati]
*✿ Qurbaani ki khaal ✿*
1. Qurbaani ki khaal ka hukm wahi hai jo qurbaani ke gosht ka hai. Lekin agar khaal bech di to us ki qeemat gareeb ko sadqa kar dena waajib hai.
📓 [Albahrur Raaiq: 8/203, Kitaabul Uzhiyyati, Shaami: 26/264, Kitaabul Uzhiyyati]
2. Qurbaani ki khaal aur us ka gosht qasaai ya kisi aur ko ujrat mein dena jaaiz nahin hai.
📓 [Shaami: 26/248, 249, Kitaabul Uzhiyyati]
✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾
Comments
Post a Comment