Haj ke Masaail Part-05
✈✈✈
✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
*Haj ke Masaail*
*● Part - 05 ●*
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
*✿ Haj ke waajibaat ✿*
*1.* Wuqoofe Muzdalifa yaani 10th Zil Hijjah ki subah saadiq hone ke baad kuchh waqt ke liye muzdalifa mein thhaharna.
📓[Shaami: 8/142, Kitaabul Haj]
*2.* Safa aur Marwa ke darmiyaan saee karna (tez chalna).
📓[Shaami: 8/143, Kitaabul Haj]
*3.* Jamraat ki rami karna, yaani mina mein 3 jaghein jahaan kankariyaan maari jaati hain un ko kankariyaan maarna.
📓[Shaami: 8/144, Kitaabul Haj]
*4.* Qaarin (haj ke dinon mein ek hi ehraam se haj-o-umraah karne waale) aur mutamatte (haj ke dinon mein alag alag ehraam se haj-o-umraah karne waale) ka qurbaani karna.
📓[Shaami: 8/152, Kitaabul Haj]
*5.* Sar ke baal mundaana ya kam karaana.
📓[Shaami: 8/145, Kitaabul Haj]
*Note :* In waajibaat mein se koi chhoot jaaye to dam yaani mina mein qurbaani karna laazim ho jaayega.
{..Next - 06, Soon In Sha Allah..}
📗Ref: Deeniyat Course book
*Download App* goo.gl/SB46QM
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
Comments
Post a Comment