Posts

Showing posts from May, 2018

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Zakaat [Part - 10]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 10 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Masla:* Zakaat ke paise se kunwaan khudwaana, sadak banwaana, masjid ke liye zameen khareedna wagaira jaaiz nahin hai, is liye ke zakaat ki adaayegi ke sahi hone ke liye mustahiq ko is ka maalik banaana shart hai. 📓 [Shaami: 7/226 Baabu Masrafiz Zakaat] *❧ Masla:* Zakaat ki niyyat se qarz maaf karne se zakaat ada nahin hogi. 📓 [Shaami: 6/494, Kitaabuz Zakaat] *❧ Masla:* Kisi ek hi aadmi ko nisaab ke baqadr zakaat ka maal dedena makrooh hai aur jab kisi mustahiq ke paas nisaab ke baqadr maal jama hojaaye to use zakaat dena jaaiz nahin. 📓 [Shaami: 7/256, Baabu Masrafiz Zakaat] *❧ Kin logon ko zakaat dena afzal hai?* ❧ Sab se pehle apne rishtedaar bhaai bahen aur un ki aulaad, chacha, phoophi, khaala, maamoon, saas, sasur, daamaad wagaira mein se jo zarooratmand hon un ko zakaat dena afza

Masla

Image

Zakaat [Part - 09]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 09 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz nahin?* (1) Woh shakhs jis par zakaat farz ho, aisa shakhs shareeat ki nigaah mein "Maaldaar" hai. 📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masrafiz Zakaat] (2) Woh shakhs jis par zakaat to farz na ho lekin zaroorat se zaaid zameen, makaan ya koi aur saamaan furniture, bartan wagaira us ke paas maujood ho aur us ki qeemat nisaab ke baqadr ho. 📓 [Shaami: 7/238, Baabu Masrafiz Zakaat] (3) Maan baap, Daada daadi, Naana naani oopar tak. 📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat] (4) Beta beti, Pota poti, Nawaasa nawaasi neeche tak. 📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat] (5) Shohar, Bivi. 📓 [Shaami: 27/226, Baabu Masrafiz Zakaat] (6) Gair Muslim. 📓 [Shaami: 7/249, Baabu Masrafiz Zakaat] (7) Maaldaar aadmi ki naabaalig aulaad. 📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masra

Masla

Image

Zakaat [Part - 08]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 08 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz hai?* *(1) Faqeer:* Woh shakhs jo saahabe nisaab na ho aur na us ke paas nisaab ke baqadr zaroorat se zaaid saamaan ho. 📓 [Shaami: 7/205, Baabu Masrafiz Zakaat] *(2) Miskeen:* Woh shakhs jis ke paas kuchh bhi na ho. 📓 [Shaami: 7/208, Baabu Masrafiz Zakaat] *(3) Qarzdaar:* Woh shakhs jis ke zimme logon ka qarz ho aur us ke paas itna maal na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi rahe. 📓 [Shaami: 7/219, Baabu Masrafiz Zakaat] *(4) Musaafir:* Woh shakhs jo haalate safar mein mohtaaj hogaya ho (chaahe apne watan mein maaldaar ho) use baqadre zaroorat zakaat dena jaaiz hai. 📓 [Shaami: 7/223, Baabu Masrafiz Zakaat]   [[..Next - 09, Soon In Sha Allah..]]    *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰✸〰❁〰✸

Masla

Image

Zakaat [Part - 07]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 07 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Mutafarriq Masaail ☆* (1) Agar saahabe nisaab banne ki qamri taareekh yaad na ho to gaur-o-fikr ke baad jis taareekh ka zan gaalib ho woh mutayyan hogi. Agar kisi taareekh ka bhi zan gaalib na ho to khud koi qamri taareekh mutayyan karle. 📓 [Ahsanul Fataawa: 4/255] (2) Agar nisaabe zakaat par saal mukammal hone se pehle koi zakaat ada karna chaahe to us ki ijaazat hai. 📓 [Shaami: 7/59, Baabu Zakaatil Ganam] (3) Saal ke darmiyaan jo maal badha us par saal ka guzarna zaroori nahin hai, saal ke mukammal hone se ek din pehle tak jo bhi maal aayega us ki zakaat nikaalna farz hai. 📓 [Shaami: 7/40-46, Baabu Zakaatil Ganam] (4) Agar kisi ke paas nisaab ke baraabar ya us se ziyaada maal hai aur us ke zimme qarz bhi hai to qarz ki miqdaar nikaalne ke baad nisaab ke baqadr maal rehta hai

Masla

Image

Masla

Image

Zakaat [Part - 06]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 06 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *​❧ Zakaat ada karna kab farz hai?* ​❧ Zakaat ka jo nisaab shareeat ne muqarrar kiya hai us ke maalik hone ke baad qamri (islaami) taareekh ke etebar se jis taareekh ko ek saal mukammal hojaaye us taareekh ko zakaat ki adaayegi farz hojaati hai. ​❧ Zakaat ki adaayegi ke liye shareeat mein Ramzaan ka maheena mutayyan nahin hai, balke har aadmi ke liye zakaat ka maheena aur taareekh alag alag hai, jis shakhs ke paas qamri maah ki jis taareekh mein nisaab ke baqadr maal aaye, us ke liye hamesha wahi taareekh zakaat ke hisaab ke liye mutayyan rahegi. Lihaaza woh shakhs usi taareekh mein zakaat ada karne ka ehtemaam kare, Ramzaan ka intezaar na kare, taakheer karna buri baat hai. 📓 [Shaami: 6/485, 497, Kitaabuz Zakaat] ​❧ Maslan ek shakhs 2 Safar 1431H ko pehli baar nisaabe zakaat ka maalik huwa, s

Zakaat [Part - 05]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 05 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Mutafarriq Masaail ☆* (4) Makaan, dukaan, kaarkhaana, bartan, kapde, kitaabein, furniture, silaai machine, gaadi, kiraaye par di jaane waali cheezein, sanati aalaat aur woh machines jo saamaan tayyaar karti hain aur khud baaqi rehti hain chaahe kitni hi qeemat ke hon; un par zakaat farz nahin hai. Aibatta agar un mein se koi bhi cheez tijaarat ki hai, to us par zakaat farz hai. 📓 [Shaami: 6/471, Kitaabuz Zakaat] (5) Sone chaandi ki bani huwi tamaam cheezon par zakaat farz hai. Jaise sone chaandi ke zewraat, bartan, sikke, tamge (medal) wagaira. 📓 [Shaami: 7/76, Baabu Zakaatil Maal] (6) Tijaarat ki garz se jo bhi cheez khareedi jaaye us par zakaat farz hai, khwaah woh zameen ho ya koi aur saamaan, is liye zakaat nikaalte waqt dukaan mein jitni cheezein bechne ki hon in sab ki qeema

Masla

Image

Zakaat [Part - 04]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 04 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Mutafarriq Masaail ☆* (1) Agar kisi ke paas sona ya chaandi donon hon, lekin kisi ek ka nisaab poora na ho, to donon ko mila kar qeemat lagaai jaayegi, agar donon ki qeemat mil kar sone ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ko pahonch jaaye, to zakaat farz hojaayegi. 📓 [Shaami: 7/89, Baabu Zakaatil Maal] (2) Zakaat ada karte waqt ya zakaat ka maal alag karte waqt zakaat ki niyyat zaroori hai, yaani dil mein iraada ho ke zakaat nikaal raha hoon. Bagair niyyat ke zakaat ada na hogi, haan albatta kisi ko zakaat keh kar dena zaroori nahin, balke hadiya keh kar de to bhi zakaat ada hojaayegi. 📓 [Shaami: 6/489, Baabu Zakaatil Maal] (3) Zakaat mein sona, chaandi, tijaarati maal, ya un ki qeemat se kapda, galla ya koi aur saamaan khareed kar dena bhi jaaiz hai. 📓 [Fataawa Daarul Uloom: 6

Masail

Image

Zakaat Masail

Image

Zakaat [Part - 03]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 03 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Kis maal mein zakaat farz hai?* (1) Sona. (2) Chaandi. (3) Rupiye Paise. (4) Maale Tijaarat.(Har woh cheez jise bechne ke iraade se khareeda ho). (5) Zameen ki paidaawaar. (6) Maweshi (Paaltu Jaanwar). *❧ Zakaat ka Nisaab:* Jin maalon mein zakaat farz hai, shareeat ne un ki khaas khaas miqdaar muqarrar kardi hai; mal ki usi khaas miqdaar ko “Nisaab" kehte hain. Jab nisaab ki miqdaar kisi ke paas poori hojaaye, to us par zakaat farz hojaati hai aur aise shakhs ko “Saahabe Nisaab" kehte hain. *(1) Sone ka nisaab:* 87gm 480mlg hai. 📓 [Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254] *(2) Chaandi ka nisaab:* 612gm 360mlg hai. 📓 [Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254] *(3) Rupiye Paise ka nisaab:* Rupiya paisa; sona ya chaandi mein se kisi ek ke n

Ramzaan Masail

Image

Zakaat [Part - 02]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 02 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Zakaat farz hone ki shartein:* (1) Musalmaan hona. (2) Aazaad hona. (3) Aaqil hona. (4) Baalig hona. (5) Nisaab ke baqadr maal ka maalik hona. (6) Nisaab ka buniyaadi zarooraton aur qarz se khaali hona. (Saahabe Nisaab par itna qarz na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi na rahe). (7) Nisaab par qamri (Islaami) saal ka guzar jaana. 📓 [Shaami: 6/452-455, Kutaabuz Zakaat] *❧ Buniyaadi Zaroorat:* Rehne ka makaan, pahenne ke kapde, ghar ka saaz-o-saamaan aur istemaal ki sawaari (gaadi) insaan ki buniyaadi zarooraton mein daakhil hain.   [[..Next - 03, Soon In Sha Allah..]]    *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Ramzaan mubarak k har roze ki niyyat alag alag karna zarori he ya pore mahine ki niyyat ek sath bi kar sakte hen.??

*✦✦Bismillahirrahmanirrahim✦✦​* ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🌹MASAILE RAMZAN🌹 SAWAL,. NO....03 Ramzaan mubarak k har roze ki niyyat alag alag karna zarori he ya pore mahine ki niyyat ek sath bi kar sakte hen.?? JAWAB. Ramzaan mubarak k har roze ki niyyat alag alag karna zarori he ek sath pore mahine ki niyyat karna sahi nahi. Note :- Dil se erada karne ko Niyyat kehte hen. 📙:-Ahkaamo Masail      DUA FOR All MUSLIM ✏ⓂMaulana Shahzad •─━━━━━══════━━━━━─• *​​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​​* *​​​​​​​​​​​​​​​​​​

Zakaat [Part - 01]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                 *​✾ Part - 01 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Zakaat ke Masaail ☆* ❧ Allah Ta'ala ki raza ke liye apne maal ki muqarrarah miqdaar kisi mustahiq musalmaan ko maalik banaakar dedene ka naam *"Zakaat"* hai. 📓 [Shaami: 6/445, Kitaabuz Zakaat] *❧ Fazeelat:* Zakaat ada karne se maal ki hifaazat hoti hai aur maal ki buraaiyon aur us ke fitnon se aadmi mehfooz hojaata hai, Hadees Shareef mein hai: Jis shakhs ne apne maal ki zakaat ada ki woh maal ke shar (buraai) se mahfooz hogaya. 📓 [Tabraani Ausat: 1579] ❧ Zakaat ada na karne par Qur'aan-o-Hadees mein bahot hi sakht sazaaein bayaan ki gai hain. Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki zakaat ada nahin karte, qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zehreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega aur un ki garda

Roza Masail

Image

Niyyat k begair roza sahi ho ga ya nahi .??

*✦✦Bismillahirrahmanirrahim✦✦* ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🌹MASAILE RAMZAN🌹             MAS,ALA NO..02 SAWAL, Niyyat k begair roza sahi ho ga ya nahi .?? JAWAB. Roze ki niyyat karna zarori he. Niyyat k begair roza nahi ho ga. Note :- Dil se erada karne ko Niyyat kehte hen. 📙:-Taleemul Islaam      DUA FOR ✏ⓂMaulana Shahzad •─━━━━━══════━━━━━─• *​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​* *​​​​​​​​​​​​​​​​

Ramzaan k roze kin logon pr farz hen.?

*✦✦Bismillahirrahmanirrahim✦✦* ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🌹MASAILE RAMZAN🌹             MAS,ALA NO...01 SAWAL, Ramzaan k roze kin logon pr farz hen.? JAWAB. Har muslmaan mard or aurat jo aaqil (yani pagal  na ho) or balig ho us pr ramzaan k roze farz hen. Ramzaan ka roza bila uzar (uzare shar,e) chhorhne wala shakt gunah gaar or faasiq he. Jo nabalig bache ruza rkhne ki quwat rakhte hon un se roze rakhwane chahey. 📙:-Taleemul Islaam      DUA FOR ✏ⓂMaulana Shahzad •─━━━━━══════━━━━━─• *​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​*

Roza Masla

Image

Dua

Image

Namaz Masail

Image

Namaz Masla

Image

"E" Code Wali Cheezein

Image

Ladkiyon ke Bade Nakhun Rakhna

Image

Shab-e-Baraat

Image