Zakaat [Part - 06]

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
            
                  *​✾ Part - 06 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Zakaat ada karna kab farz hai?*

​❧ Zakaat ka jo nisaab shareeat ne muqarrar kiya hai us ke maalik hone ke baad qamri (islaami) taareekh ke etebar se jis taareekh ko ek saal mukammal hojaaye us taareekh ko zakaat ki adaayegi farz hojaati hai.

​❧ Zakaat ki adaayegi ke liye shareeat mein Ramzaan ka maheena mutayyan nahin hai, balke har aadmi ke liye zakaat ka maheena aur taareekh alag alag hai, jis shakhs ke paas qamri maah ki jis taareekh mein nisaab ke baqadr maal aaye, us ke liye hamesha wahi taareekh zakaat ke hisaab ke liye mutayyan rahegi. Lihaaza woh shakhs usi taareekh mein zakaat ada karne ka ehtemaam kare, Ramzaan ka intezaar na kare, taakheer karna buri baat hai.

📓 [Shaami: 6/485, 497, Kitaabuz Zakaat]

​❧ Maslan ek shakhs 2 Safar 1431H ko pehli baar nisaabe zakaat ka maalik huwa, saal ke darmiyaan maal ghatta badhta raha lekin agle saal 2 Safar 1432H ko us ke paas nisaab ke baqadr ya us se ziyaada maal maujood hai to us shakhs par apni milkiyat mein maujood sona, chaandi, naqd raqm, bank mein mahfooz raqm, tijaarati plot aur dukaan mein maujood tijaarati saamaan wagaira; sab ki majmooi qeemat jod kar 2.5% ke lihaaz se zakaat ada karna farz hai.

📓 [Shaami: 7/40, 46, Baabu Zakaatil Ganam]

  [[..Next - 07, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book

  *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Comments