Zakaat [Part - 07]

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
            
                  *​✾ Part - 07 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(1) Agar saahabe nisaab banne ki qamri taareekh yaad na ho to gaur-o-fikr ke baad jis taareekh ka zan gaalib ho woh mutayyan hogi. Agar kisi taareekh ka bhi zan gaalib na ho to khud koi qamri taareekh mutayyan karle.

📓 [Ahsanul Fataawa: 4/255]

(2) Agar nisaabe zakaat par saal mukammal hone se pehle koi zakaat ada karna chaahe to us ki ijaazat hai.

📓 [Shaami: 7/59, Baabu Zakaatil Ganam]

(3) Saal ke darmiyaan jo maal badha us par saal ka guzarna zaroori nahin hai, saal ke mukammal hone se ek din pehle tak jo bhi maal aayega us ki zakaat nikaalna farz hai.

📓 [Shaami: 7/40-46, Baabu Zakaatil Ganam]

(4) Agar kisi ke paas nisaab ke baraabar ya us se ziyaada maal hai aur us ke zimme qarz bhi hai to qarz ki miqdaar nikaalne ke baad nisaab ke baqadr maal rehta hai to baqiya raqm ki zakaat ada karna farz hai aur agar nisaab ke baqadr maal nahin rehta hai to zakaat farz na hogi.

📓 [Shaami: 6/456, Kitaabuz Zakaat]

(5) Agar saahabe nisaab ka doosre ke zimme qarz ho ya doosre ke zimme Saamaane tijaarat ki qeemat ho to doosri cheezon ke saath us ki bhi zakaat ada karde aur is ki bhi gunjaaish hai ke jab qarz ya saamaane tijaarat ki qeemat wasool ho is waqt pichhle saalon ki bhi zakaat ada kare, albatta aisa qarz jis ke milne ki bilkul ummeed na ho us par zakaat farz nahin.

📓 [Shaami: 7/97, Baabu Zakaatil Maal]

  [[..Next - 08, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book

  *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Comments