Posts

Showing posts from July, 2018

Haj ke Masaail (Part-7)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                   *Haj ke Masaail*                  *●  Part - 07  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ *✿ Kaun kaun si cheezein ehraam mein naajaaiz hain? * *1.* Sila huwa kapda pahenna. πŸ““[Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam] *2.* Khushki ke jaanwar ka shikaar karna. πŸ““[Shaami: 8/212, Faslun Fil Ehraam] *3.* Badan ke kisi hisse (sar, daadhi, badan, zere naaf, moonchh wagaira) ke baal katarwaana ya mundaana. πŸ““[Shaami: 8/217-218, Faslun Fil Ehraam] *4.* Naakhun kaatna. πŸ““[Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam] *5.* Khushbu ya tel lagaana. πŸ““[Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam; Shaami: 8/399, Baabul Jinaayaati Fil Haj] *6.* Hambistari karna ya us ki khwaahish ko ubhaarne waali koi baat ya harkat karna. πŸ““[Shaami: 8/211, Faslun Fil Ehraam] *7.* Sar ya chehra dhaankna. πŸ““[Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam] *8.* Moze pahenna. πŸ““[Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam] *

Haj ke Masaail (Part-6)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 06  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾             *✿  Haj ka tareeqa  ✿* ✿ Jab haj ke liye jaana tay hojaaye, to rawaangi se pehle pehle bandon ke jo huqooq zimme mein ho un sab ko ada karde, galtiyon ki maafi maangle, aur gunaahon se tauba wa istigfaar karle, phir safar ke liye nikle, jab meeqaat (ehraam baandhne ki jagah) par pohnche to ehraam baandhle (ehraam ka kapda pahenle aur talbiyah ke saath dil se haj ki niyyat karle) usi waqt se talbiyah padhna shuru karde *(Labbaik allaahumma labbaik, labbaik laashareeka laka labbaik, innal hamda wanne’mata laka wal mulk, laa shareeka laka)* phir jab Makkah pohnche to sab se pehle masjide haraam jaakar tawaafe qudoom kare, tawaaf ke baad 2 rakat namaaz ada kare, us ke baad “Safa Marwah” jaakar saee kare, safa aur marwah ke darmiyaan 7 pheron ko saee kehte

Haj ke Masaail (Part-5)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 05  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾            *✿  Haj ke waajibaat  ✿* *1.* Wuqoofe Muzdalifa yaani 10th Zil Hijjah ki subah saadiq hone ke baad kuchh waqt ke liye muzdalifa mein thhaharna. πŸ““[Shaami: 8/142, Kitaabul Haj] *2.* Safa aur Marwa ke darmiyaan saee karna (tez chalna). πŸ““[Shaami: 8/143, Kitaabul Haj] *3.* Jamraat ki rami karna, yaani mina mein 3 jaghein jahaan kankariyaan maari jaati hain un ko kankariyaan maarna. πŸ““[Shaami: 8/144, Kitaabul Haj] *4.* Qaarin (haj ke dinon mein ek hi ehraam se haj-o-umraah karne waale) aur mutamatte (haj ke dinon mein alag alag ehraam se haj-o-umraah karne waale) ka qurbaani karna. πŸ““[Shaami: 8/152, Kitaabul Haj] *5.* Sar ke baal mundaana ya kam karaana. πŸ““[Shaami: 8/145, Kitaabul Haj] *Note :* In waajibaat mein se koi chhoot jaaye to dam yaani mi

Haj ke Masaail (Part-4)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 04  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾             *✿  Haj ke faraaiz  ✿* *1.* Ehraam baandhna, yaani dil se haj ki niyyat karna aur talbiyah padhna. *2.* Wuqoofe Arfa, yaani arfaat ke maidaan mein 9th Zil Hijjah ko zuhar ke waqt se 10th Zil Hijjah ki Fajr se pehle tak kisi bhi waqt thhaharna, agarche ek minute hi ho. *3.* Tawaafe Ziyaarat. *4.* Oopar ki teenon cheezon ko tarteeb se karna yaani pehle ehraam baandhna, phir wuqoofe arfa karna, us ke baad tawaafe ziyaarat karna. πŸ““[Shaami: 8/140,141, Kitaabul Haj] *Note :* In faraaiz mein se koi farz chhoot jaaye to haj ada nahin hoga. {..Next - 05, Soon In Sha Allah..}   πŸ“—Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​​ goo.gl/wqABfs ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾

Haj ke Masaail (Part-3)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 03  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ *✿ Masla :* Jab haj farz hojaaye to faori taur par haj karna waajib hai, bila uzr der karna aur yeh khayaal karna ke abhi umr padi hai, phir kisi saal haj kar leinge, durust nahin, aisa shakhs gunahgaar hoga. πŸ““[Shaami: 8/109,110, Kitaabul Haj] *✿ Masla :* Agar kisi ke zimme haj farz tha aur us ne susti ki wajah se der kardi, phir woh aisa beemaar hogaya ke safar ke qaabil na raha, to marte waqt yeh wasiyyat karna waajib hai ke meri taraf se haj karaa dena, mar jaane ke baad us ke waariseen us ke ek tihaai maal se kisi aadmi ko kharch dekar bhejein ke woh jaakar marhoom ki taraf se haj kare, aur jo haj us ki taraf se kiya jaata hai, use "Hajje Badal" kehte hain. {..Next - 04, Soon In sha Allah..}   πŸ“—Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​

Haj ke Masaail (Part-2)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 02  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ *✿  Haj ke farz hone ki shartein ✿* *1.* Musalmaan hona. *2.* Aazaad hona. *3.* Aaqil hona. *4.* Baalig hona. πŸ““[Shaami: 8/113-115, Kitaabul Haj] *5.* Milkiyat mein itna sona chaandi ya rupiya paisa ho, jis ki bina par woh apne maqaam se Makkatul Mukarramah tak aane jaane ke kharch aur wahaan ke zaroori akhraajaat par qaadir ho aur jin logon ka kharch us ke zimme zaroori hai un ko lautaane tak ka kharch de sake, yaa itne rupay ka zaroorat se zaaid makaan, saamaan wagaira ho, aur maal ki yeh miqdaar qarz se khaali ho. πŸ““[Shaami: 8/117-126, Kitaabul Haj] *6.* Tandurust hona, aisi koi beemaari na ho jis ki wajah se woh safar na kar sakta ho. πŸ““[Shaami: 8/115, Kitaabul Haj] *7.* Raaste mein jaani ya maali nuqsaan ka khatra na ho. πŸ““[Shaami: 8/126, Kitaabul H

Haj ke Masaail (Part-1)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 01  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ ✿  Haj ke dinon mein Makkatul Mukarrama jaakar khaas aamaal ada karne ko “Haj” kehte hain. Haj ke aamaal ada karne ke din 5 hain: 8th Zil Hijjah se 12th Zil Hijjah tak. Haj zindagi mein sirf ek martaba farz hai. πŸ““[Shaami: 8/99, Kitaabul Haj] *✿ Fazeelat :* Huzoore Aqdas ο·Ί ne farmaaya : Jis shakhs ne khaalis Allah Ta'ala ki raza ke waaste haj kiya aur woh is safar mein buraaiyon, nafsaani khwaahishaat aur ladaai jhagdon se door raha to woh gunaahon se is tarah paak-o-saaf hokar lautega jis tarah bachcha maan ke pet se paida hote waqt gunaahon se paak-o-saaf hota hai. πŸ““ [Sahih Bukhaari: 1521] ✿ Rasoole Akram ο·Ί ne farmaaya : Jis shakhs ke paas khaane peene aur sawaari ka itna kharch ho jis se woh baitullah shareef jaasake phir woh haj na kare, to woh yahoodi