Haj ke Masaail (Part-6)
✈✈✈
✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
*Haj ke Masaail*
*● Part - 06 ●*
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
*✿ Haj ka tareeqa ✿*
✿ Jab haj ke liye jaana tay hojaaye, to rawaangi se pehle pehle bandon ke jo huqooq zimme mein ho un sab ko ada karde, galtiyon ki maafi maangle, aur gunaahon se tauba wa istigfaar karle, phir safar ke liye nikle, jab meeqaat (ehraam baandhne ki jagah) par pohnche to ehraam baandhle (ehraam ka kapda pahenle aur talbiyah ke saath dil se haj ki niyyat karle) usi waqt se talbiyah padhna shuru karde *(Labbaik allaahumma labbaik, labbaik laashareeka laka labbaik, innal hamda wanne’mata laka wal mulk, laa shareeka laka)* phir jab Makkah pohnche to sab se pehle masjide haraam jaakar tawaafe qudoom kare, tawaaf ke baad 2 rakat namaaz ada kare, us ke baad “Safa Marwah” jaakar saee kare, safa aur marwah ke darmiyaan 7 pheron ko saee kehte hain, safa se marwah ek phera aur marwah se safa doosra phera, isi tarah marwah pahonch kar 7 phere mukammal honge.
✿ 8th Zil Hijjah ko “Mina” jaaye, phir 9th Zil Hijjah ko sooraj nikalne ke baad “Maidaane Arfaat” aaye, wahaan Zuhar, Asr padhe aur guroob tak waheen thhehra rahe, guroob ke baad magrib ki namaaz padhe bagair “Muzdalifa” chala jaaye, wahaan pahonch kar Isha ke waqt mein Magrib Isha ek saath ada karle, aur raat waheen guzaare.
✿ 10th Zil Hijjah ki subah ko phir “Mina” aaye aur “Jamra-e-Uqbah” ki rami kare, yaani bade shaitaan ko kankari maare, us ke baad qurbaani kar ke sar ke baal mundaaye ya kam az kam ek ungli ke porwe ke baqadr baal kaatle, phir Makkah aakar tawaafe ziyaarat kare, phir mina waapas jaakar 11th, 12th Zil Hijjah 2 din jamaraat ki rami kare, 12 taareekh ko guroob se pehle Makkah ko rawaana hojaaye, phir Makkah aakar jitne din chaahe thhehre aur jab watan rawaana hone lage to tawaafe weda karle.
📓[Fataawa Hindiya: 1/224-235, Al Baabul Khaamis Fi Kaifiyati Adaail Haj]
{..Next - 07, Soon In Sha Allah..}
📗Ref: Deeniyat Course book
*Download App* goo.gl/wqABfs
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
Comments
Post a Comment