Haj ke Masaail (Part-2)

✈✈✈

      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦

                 *Haj ke Masaail*

                 *●  Part - 02  ●*
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾

*✿  Haj ke farz hone ki shartein ✿*

*1.* Musalmaan hona.

*2.* Aazaad hona.

*3.* Aaqil hona.

*4.* Baalig hona.

📓[Shaami: 8/113-115, Kitaabul Haj]

*5.* Milkiyat mein itna sona chaandi ya rupiya paisa ho, jis ki bina par woh apne maqaam se Makkatul Mukarramah tak aane jaane ke kharch aur wahaan ke zaroori akhraajaat par qaadir ho aur jin logon ka kharch us ke zimme zaroori hai un ko lautaane tak ka kharch de sake, yaa itne rupay ka zaroorat se zaaid makaan, saamaan wagaira ho, aur maal ki yeh miqdaar qarz se khaali ho.

📓[Shaami: 8/117-126, Kitaabul Haj]

*6.* Tandurust hona, aisi koi beemaari na ho jis ki wajah se woh safar na kar sakta ho.

📓[Shaami: 8/115, Kitaabul Haj]

*7.* Raaste mein jaani ya maali nuqsaan ka khatra na ho.

📓[Shaami: 8/126, Kitaabul Haj]

*8.* Hukoomat ki taraf se koi rukaawat na ho.

📓[Shaami: 8/116, Kitaabul Haj]

*9.* Oopar zikr ki gai sharaait ka us waqt paaya jaana jab log haj ke maosam mein haj ke liye rawaana hote hain.

📓[Shaami: 8/113, Kitaabul Haj]

{..Next - 03, Soon In Sha Allah..}

  📗Ref: Deeniyat Course book

   *Download App​​​​​* goo.gl/wqABfs
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Eid gah me namaz hogayi lekin sheher ki masjido me namaz baqi he to kya qurbani karsakte hen ??

Kuch log sahri ka time khatm hone k bad yani subuh sadiq ka waqt shuro hone k bad bi chand mint khate rehte hen is ka kia hukm he.??