Posts
Showing posts from April, 2020
Zakaat Part 2
- Get link
- X
- Other Apps
🍃🍃🍃 ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *Bismillahirrahmanirrahim* ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ 💸 *Zakaat* 💸 *✾ Part - 02 ✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Zakaat farz hone ki shartein:* (1) Musalmaan hona. (2) Aazaad hona. (3) Aaqil hona. (4) Baalig hona. (5) Nisaab ke baqadr maal ka maalik hona. (6) Nisaab ka buniyaadi zarooraton aur qarz se khaali hona. (Saahabe Nisaab par itna qarz na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi na rahe). (7) Nisaab par qamri (Islaami) saal ka guzar jaana. 📓 [Shaami: 6/452-455, Kutaabuz Zakaat] *❧ Buniyaadi Zaroorat:* Rehne ka makaan, pahenne ke kapde, ghar ka saaz-o-saamaan aur istemaal ki sawaari (gaadi) insaan ki buniyaadi zarooraton mein daakhil hain. [[..Next - 03, Soon In Sha Allah..]] *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁
Zakaat Part 1
- Get link
- X
- Other Apps
🍃🍃🍃 ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *Bismillahirrahmanirrahim* ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ 💸 *Zakaat* 💸 *✾ Part - 01 ✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *☆ Zakaat ke Masaail ☆* ❧ Allah Ta'ala ki raza ke liye apne maal ki muqarrarah miqdaar kisi mustahiq musalmaan ko maalik banaakar dedene ka naam *"Zakaat"* hai. 📓 [Shaami: 6/445, Kitaabuz Zakaat] *❧ Fazeelat:* Zakaat ada karne se maal ki hifaazat hoti hai aur maal ki buraaiyon aur us ke fitnon se aadmi mehfooz hojaata hai, Hadees Shareef mein hai: Jis shakhs ne apne maal ki zakaat ada ki woh maal ke shar (buraai) se mahfooz hogaya. 📓 [Tabraani Ausat: 1579] ❧ Zakaat ada na karne par Qur'aan-o-Hadees mein bahot hi sakht sazaaein bayaan ki gai hain. Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki zakaat ada nahin karte, qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zehreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega aur un ki gardan se lipat ja