Zakaat Part 1
πππ
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
πΈ *Zakaat* πΈ
*✾ Part - 01 ✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁
*☆ Zakaat ke Masaail ☆*
❧ Allah Ta'ala ki raza ke liye apne maal ki muqarrarah miqdaar kisi mustahiq musalmaan ko maalik banaakar dedene ka naam *"Zakaat"* hai.
π [Shaami: 6/445, Kitaabuz Zakaat]
*❧ Fazeelat:* Zakaat ada karne se maal ki hifaazat hoti hai aur maal ki buraaiyon aur us ke fitnon se aadmi mehfooz hojaata hai, Hadees Shareef mein hai: Jis shakhs ne apne maal ki zakaat ada ki woh maal ke shar (buraai) se mahfooz hogaya.
π [Tabraani Ausat: 1579]
❧ Zakaat ada na karne par Qur'aan-o-Hadees mein bahot hi sakht sazaaein bayaan ki gai hain. Rasoolullah ο·Ί ka irshaad hai: Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki zakaat ada nahin karte, qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zehreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega aur un ki gardan se lipat jaaye aur un ke jabdon ko noch noch kar kahega: Main tumhaara jama kiya huwa maal hoon, main tumhaara khazaana hoon.
π [Sahih Bukhaari: 4103]
*❧ Zakaat ka hukm:* Zakaat dena farz hai, Qur'aan Majeed aur ahaadees se is ki farziyat saabit hai, jo shakhs is ki farziyat ka inkaar kare woh kaafir hai. Aur jo shakhs maaldaar hote huwe zakaat ada na kare woh sakht gunahgaar hai.
π [Fataawa Hindiyah: 1/170, Kitaabuz Zakaat]
[[..Next - 02, Soon In Sha Allah..]]
*✍πΌ Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁
Comments
Post a Comment