Zakaat Part 2

๐Ÿƒ๐Ÿƒ๐Ÿƒ

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 ๐Ÿ’ธ  *Zakaat*  ​๐Ÿ’ธ
             
                  *​✾ Part - 02 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*❧ Zakaat farz hone ki shartein:*

(1) Musalmaan hona.

(2) Aazaad hona. 

(3) Aaqil hona.

(4) Baalig hona. 

(5) Nisaab ke baqadr maal ka maalik hona. 

(6) Nisaab ka buniyaadi zarooraton aur qarz se khaali hona. (Saahabe Nisaab par itna qarz na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi na rahe). 

(7) Nisaab par qamri (Islaami) saal ka guzar jaana.

๐Ÿ““ [Shaami: 6/452-455, Kutaabuz Zakaat] 

*❧ Buniyaadi Zaroorat:* Rehne ka makaan, pahenne ke kapde, ghar ka saaz-o-saamaan aur istemaal ki sawaari (gaadi) insaan ki buniyaadi zarooraton mein daakhil hain.

  [[..Next - 03, Soon In Sha Allah..]]

   *✍๐Ÿผ Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Comments

Popular posts from this blog

Kia sadqa fitr (fatrana) sirf gandum k hisaab se hi dena chahey ya .?? Jase aaj kal Ameer,Gareeb sab gandum se hi ada kar dete  hen.?

wo kon si cheezen hen jin se roza toot jata he or roze ki sirf qaza wajib hoti he kaffara wajib nahi hota.?