Qurbaani Part-01

✯✰✮

      ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦

                *❖  Qurbaani  ❖*

                 *❂  Part - 01  ❂*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

      *✿  Qurbaani ke Masaail  ✿*

❧ Eid-ul-Azha ki qurbaani Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki us qurbaani ki yaadgaar hai jo unhon ne apne pyaare bete Hazrat Ismaail Alaihissalam ko qurbaan kar ke qaaim ki hai.

❧ Eid-ul-Azha ke din qurbaani ki badi fazeelat hai. Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Eid-ul-Azha ke din Aadam ke bete (insaan) ka koi amal Allah Ta'ala ko qurbaani se ziyaada mehboob nahin aur qurbaani ka jaanwar qayaamat ke din apni seengon, baalon aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se pehle Allah Ta'ala ki raza aur maqbooliyat ke muqaam par pahonch jaata hai, pas aye Allah ke bando! Dil ki poori khushi se qurbaani kiya karo.

📓 [Ibne Maaja: 3126]

❧ Agar koi shakhs istita'at ke baawajood qurbaani na kare to aisa shakhs gunahgaar hai. Nabiye Kareem ﷺ ka irshaad hai: Jo shakhs qurbaani ki istita'at rakhta ho us ke baawajood qurbaani na kare, aisa shakhs hamaari Eidgaah ke qareeb hargiz na aaye.

📓 [Ibne Maaja: 3123]

  [[..Next - 02, Soon insha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/SB46QM
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Comments