Posts

Showing posts from 2019

Masaail Qurbani Hindi Images (19-20-21-22-23)

Image

Masaail Qurbani Hindi Image (15-16-17-18)

Image

Qurbaani ka tareeqa

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦        *✿  Qurbaani ka tareeqa  ✿* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ ​​​❧ Qurbaani karne ka tareeqa yeh hai ke jaanwar ko baayeen karwat par is tarah litaaye ke us ka munh qible ki taraf ho aur pairon ko baandhde, phir yeh dua padhe: إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَأوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ (lnnee wajjahtu wajhiya lillazee fatarassamaawaati wal arza haneefanw wamaa anaa minal mushriqeena inna salaatee wa nusuki wa mahyaaya wa mamaatee Iillaahi rabbil aalameena laa shareeka lahoo wa bizaalika umirtu wa anaa awwalul muslimeen) 📓 [Ibne Maaja: 3121] ​​​❧ Yeh dua padhne ke baad jis ki taraf se qurbaani karni hai us ki taraf se dil mein niyyat karle phir                     

Masla Qurbani (Part-14)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 14 📣* *📜Sawal :* Sasti Qimat ki Wajah Se dusri Jagah Qurbani kara Sakte Hai? *✅ Jawab :* Sasti Qimat ki Wajah se Dusri Jagah Qurbani karane me koi Haraj nahi hai. Lekin Maali ibadat me Jitna Zyada Rupya kharch kiya jata hai Sawab utna hi Zyada Milta hai. _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbani (Part-12)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 12 📣* *📜 Sawal :* Dikhane ke liye Mehenge Jaanwar Kharidna kaisa Hai? *✅ Jawab :* Baaz Log Dikhane ke Liye Mehenge Janwar kharidte hai Aur Us ka Charcha karte hai to Is ke Sath Sawab ki Ummid Rakhna Dhoka hai. Allah ke yahan wahi Amal Maqbul hai jo Khalis Allah ke Liye kiya Jaye.. 📗 (Mustafad Kitabul Masail 2/219) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbani (Part-11)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 11 📣* *📜 Sawal :* Agar Kisi ne Apni Qurbani ka Intizam Dusre Sheher mein rakha hai to kahan ki Eid ka Aetebar hoga? *✅ Jawab :* Agar Dusre Sheher mein Qurbani ka Intizam kiya hai to Jahan Janwar hai Usi Sheher ki Eid ke Baad Qurbani Sahih Hogi, Chahe us Malik ke Yaha Eid na hui ho. _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbani (Part-10)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 10 📣* *📜 Sawal :* Sheher Mein Ek Jagah Eid ki Namaz hone se dusri Jagah walo ko Qurbani Sahih hai? *✅ Jawab :* Agar Sheher Mein Kisi bhi Jagah Eid ki Namaz ho Gayi to Pure Sheher Walo ke Liye Qurbani Karna Durust hai.  📗 (Mustafad, Kitabul Masail 2/216) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masaail Qurbani Hindi Image (14)

Image

Masla Qurbani (Part-09)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 9 📣* *📜Sawal :* Eid Gah Me Namaz ho gayi Lekin Sheher ki Masjido me Namaz baqi ho to kya Qurbani kar Sakte hai? *✅ Jawab :* Agar Eid Gah me Eid ki Namaz ho gayi Aur Dusri Masjido me baqi ho to bhi Qurbani durust hai. Qurbani ho jayegi.. _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbani (Part-08)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 8 📣* *📜 Sawal :* Agar Eid Ki Namaz ke baad Khutbe se Pehle Qurbani kare to Hogi ya Nahi? *✅ Jawab :* Eid ki Namaz ke baad Khutbe se Pehle Qurbani ki to Sahih ho Jayegi Lekin Aisa karna Achha nahi hai. Behtar Ye hai ke Khutbe ke baad hi Qurbani ki Jaye.. 📗(Kitabul Masail Bifaeqin Yasir 2/215) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masaail Qurbani hindi image (13)

Image

Masla Qurbani (Part-07)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 7 📣* *​​​📜 Sawal :* Qurbani ka Waqt kab se Shuru hota hai ? *​✅ Jawab :* Qurbani ka Asal Waqt 10 Zilhaj ki Subah Sadiq se shuru hokar 12 Zilhaj ke Suraj ke Gurub hone tak rehta he. Albatta Jahan Eid ki Namaz hoti he (jese Sheher, Bada Gao) waha Eid ki Namaz ke baad Qurbani Sahih hogi (us se pehle nahi) Aur Jaha Eid ki Namaz na hoti ho jese Dihat, Chhota Gao waha Subah Sadiq ke baad Qurbani Sahih he.. _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masaail Qurbani hindi image (12)

Image

Masaail Qurbani hindi Image (11)

Image

Masla Qurbani (Part-06)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*              *📣 Masala no. 6 📣* *​​📜 Sawal :* Ghar ke Ek Aadmi ki taraf se Qurbani kare to Sab ki ada hojayegi ya nahi? *✅Jawab :* Jis ke Zimme Qurbani Wajib he wo apni taraf se Qurbani kare.. Ye samajhna ke ek Bakra Qurbani kar dene se pure Ghar ka Wajib ada ho Jayega sahih nahi..!!! 📗 (Fatawa Mahmudiya Bi Farq 17/312) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masaail Qurbani hindi image (10)

Image

Masla Qurbani (Part-05)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 5 📣* *​📜 Sawal :* Agar Koi Qurbani na kare us ke badle Qimat Sadqa karde to durust hai? Ya Qurbani hi zaruri hai? *✅ Jawab :* (Qurbani wazib ho to) Qurbani ke dino me Qurbani hi Zaruri hai Qimat kafi nahi.. Haa Agar kisi Wajah se un dino me Qurbani nahi kar paya Aur din guzar gaye to phir Qimat ka Sadqa Zaruri hai.. 📔 (Fatawa Mahmudiya Jadid bi farq 17/310) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masail e Qurbani Hindi Image (09)

Image

Masla Qurbani (Part-04)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 4 📣* *​📜 Sawal :* Qurbaani Ke Kon Konse Din hain?? *✅ Jawab:* Qurbaani ke 3 Din Hai. 10,11,12 Zilhajj (12 ki Sham tak) Is Se Pehle Ya baad Mein Qurbaani Motabar Nahi Hai.. 📗 (Kitabul Masail 2/214 Bahawala Hindiyya Wagera) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbani (Part-03)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no. 3 📣* *📜 Sawal :* Qurbani kis per wajib he??  *✅ Jawab :* Qurbani us per wajib he jis me ye chize ho 1.. Musalman ho. 2.  Aqal wala ho ,, pagal per wajib nahi. 3.. Balig ho, , bache per wajib nahi. 4.. Muqeem ho,,, musafir per wahib nahi (yani jo shakh qurbani ke tino din me safar me ho us per qurbani wajib nahi). 5.. Us ke paas 612.35 gram chandi ya us ke barabar saman ho. 6.. Wo saman zarurat se zaaid ho. 7.. Wo maal chahe sona ho chandi ho yaa gharelu saman ho ya zarurat se zaaid ke makanat jaaidad wagera ho. 8.. Is me saal guzarna shart nahi. Qurbani ki tino din me kabhi bhi itna maal aayega to qurbani wajib hojayegi.. 📗 (Masaile Qurbaani 117 Bi farq) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbani (Part-02)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no  2 📣* *📜 Sawal :* Qurbani Karne Ki Kya Fazilat Hai?? *✅ Jawab :* Hazrat Aaisha (R.A) se Riwayat he ke Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ke Zil hajja ki 10 tarikh yani Eidul Azha ke din Insan ka koi Amal Allah Ta'ala ko Qurbani se Zyada Mahbub nahi hai Aur Qurbani ka Janwar Qayamat ke din apne Singo Aur Baalo our Khuro ke sath zinda hokar Aayega our Qurbani ka khun Zameen per girne se pehle Allah Ta'ala ki Riza our Maqbuliyat ke maqam per puhonch jata hai Pas ae khuda ke Bando dil ki puri khushi se Qurbaniyan Kiya karo ... 📗 (Tirmizi Sharif Bahawala Masail e Qurbani 32 Bifarqi Yasir) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Masla Qurbaani (Part 1)

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰       *🌺 Masaail e Qurbaani 🌺​​​​​​*               *📣 Masala no  1 📣* *📜 Sawal :* Qurbaani Na krne per kya Waeed Hain?? *✅ Jawab :* Hazrat abu huraira r. Z se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya Jis ke paas gunjaish ho (us per qurbani wajib ho) our us ke bawjud wo qurbani na kare wo hamari eidgah ke qarib bhi na aaye (bayhaqi). 📗 Masaile Qurbani 31 (Maulana Rafat Qasmi) _📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁