Posts

Showing posts from July, 2016

Dikhane ke liye mehenge jaanwar kharidna kesa he???

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​​​​​*           ​​ *📣 ​Masala no 14 📣​​​​​​​* *📜Sawal :* Dikhane ke liye mehenge jaanwar kharidna kesa he??? *✅Jawab :* Baaz log dikhane ke liye mehenge janwar kharidte hen our us ka charcha karte hen to is ke sath sawab ki ummid rakhna dhoka he. Allah ke yahan wahi amal maqbul he jo khalis allah ke liye kiya jaye..  📗(Mustafad kitabul masail 2/219) _📝Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ ●════════════════════● *​​​Note-​​​​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani kara sakte hen ??

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰     *📣 ​Masala no 13 📣​​​​* 🌱🌱masaile qurbani🌱🌱 ​📜Sawal.. Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani kara sakte hen ?? ✅Jawab  : Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani karane me koi haraj nahi he..  Lekin maali ibadat me jitna zyada rupya kharch kiya jata he sawab utna hi zyada milta he...  ●════════════════════● *​Note-​​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Kisi ne apna janwar gao me bheja jahan eid ki namaz nahi hoti to kab qurbani karni hogi??

*​🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​​​​​​*           ​ *​📣 ​Masala no 12 📣​​​​​​​​* *📜Sawal :* Kisi ne apna janwar gao me bheja jahan eid ki namaz nahi hoti to kab qurbani karni hogi?? *✅Jawab :* Kisi sheher ke aadmi ne apna janwar dihat me rakha ho to eid ke din subah sadiq se hi qurbani durust he. Eid ki namaz ka intizar nahi kiya jayega..  📗(Mustafad  kitabul masail 2/217,218) _📝Maulana Ibrahim Alyani Sb..​_ ●════════════════════● *​​​​Note-​​​​​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Agar kisi ne apni qurbani ka intizam dusre sheher me rakha he to kahan ki eid ka aetebar hoga???

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​​​​​*           ​​ *📣 ​Masala no 11 📣​​​​​​​* *📜Sawal :* Agar kisi ne apni qurbani ka intizam dusre sheher me rakha he to kahan ki eid ka aetebar hoga??? *✅Jawab :* Agar dusre sheher me qurbani ka intizam kiya he to jahan janwar he usi sheher ki eid ke baad qurbani sahih hogi Chahe us malik ke yaha eid na hui ho..  📝Maulana Ibrahim Alyani Sb..​ ●════════════════════● *​​​Note-​​​​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Sheher me ek jagah eid ki namaz hone se dusri jagah walo ko qurbani sahih he?? 

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​​​​*           ​​ *📣 ​Masala no 10 📣​​​​​​* *📜Sawal :* Sheher me ek jagah eid ki namaz hone se dusri jagah walo ko qurbani sahih he??  *✅Jawab :* Agar sheher me kisi bhi jagah eid ki namaz hogayi to pure sheher walo ke liye qurbani karna durust he...  📗(Mustafad, Kitabul masail 2/216) 📝Maulana Ibrahim Alyani Sb..​ ●════════════════════● *​​Note-​​​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Eid gah me namaz hogayi lekin sheher ki masjido me namaz baqi he to kya qurbani karsakte hen ??

*​🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​​​*           *​📣 ​Masala no 9 📣​​​​​* *📜Sawal :* Eid gah me namaz hogayi lekin sheher ki masjido me namaz baqi he to kya qurbani karsakte hen ?? *✅Jawab :* Agar eid gah me eid ki namaz hogayi our dusri masjido me baqi he to bhi qurbani durust he. . Qurbani hojayegi ..  ​📝Maulana Ibrahim Alyani Sb..​ ●════════════════════● *​​Note-*​​​ Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Agar eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani kare to hogi ya nahi???

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​​*            *📣 ​Masala no 8 📣​​​​* *📜 Sawal :* Agar eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani kare to hogi ya nahi??? *✅ Jawab :* Eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani ki to sahih hojayegi lekin aesa karna acha nahi he. Behtar ye he ke khutbe ke baad hi qurbani ki jaye.. 📗(Kitabul masail bifaeqin yasir 2/215) _📝Maulana Ibrahim Alyani Sb.._ ●════════════════════● *​Note-​​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Qurbani ka waqt kab se shuru hota he ?

*​​​🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​​*            *📣 ​Masala no 7 📣​​​* *​​​📜 Sawal :* Qurbani ka waqt kab se shuru hota he ? *​✅ Jawab :* Qurbani ka asl waqt 10 zilhaj ki subah sadiq se shuru hokar 12 zilhaj ke suraj ke gurub hone tak rehta he Albatta jahan eid ki namaz hoti he (jese sheher ,bada gao)  waha eid ki namaz ke baad qurbani sahih hogi (us se pehle nahi) our jaha eid ki namaz na hoti ho jese dihat,chhota gao waha subah sadiq ke baad qurbani sahih he.. 📝Maulana Ibrahim Alyani Sb. ●════════════════════● *Note-​* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islam.group

Ghar ke ek aadmi ki taraf se qurbani kare to sab ki ada hojayegi yaa nahi??

*​​🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *🌺 Masaaile Qurbani 🌺​*            *📣 ​Masala no 6 📣​​* *​​📜Sawal :* Ghar ke ek aadmi ki taraf se qurbani kare to sab ki ada hojayegi yaa nahi?? *✅Jawab :* Jis ke zimme qurbani wajib he wo apni taraf se qurbani kare.. Ye samajhna ke ek bakra qurbani kardene se pure ghar ka wajib ada hojayega sahih nahi..!!! 📗(Fatawa mahmudiya bi farq 17/312) 📝Maulana Ibrahim Alyani Sb.. ●════════════════════● *⚠Note-* Islamic GrouP Ke Sabhi text Msgs Ke Liye Islamic Group App Download Kre., https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

agar koi qurbani na kare us ke badle qimat sadqa karde to durust he?  Ya qurbani hi zaruri he??? 

*​🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰        *📣 ​Masala no  5 📣​* 🌺🌺 Masaaile qurbai🌺🌺 *​📜Sawal: .. agar koi qurbani na kare us ke badle qimat sadqa karde to durust he?  Ya qurbani hi zaruri he???  ✅Jawab : (qurbani wakib ho to) qurbani ke dino me qurbani hi zaruri he qimat kafi nahi.. Haa agar kisi wajah se un dino me qurbani nahi kar paya our din guzar gaye  to phir qimat ka sadqa zaruri he .. (Fatawa mahmudiya jadid bi farq 17/310) ●════════════════════●    ​👥 Plz Share to others also 👥​

Qurbani ke kon konse din hen??

*​🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰              *📣 ​Masala no  4 📣​* *​📜 Sawal :* Qurbani ke kon konse din hen?? *✅ Jawab:* Qurbani ke 3 din he 10/11/12 zilhajj (12 ki sham tak) Is se pehle yaa baad me qurbani motabar nahi he.. 📗(Kitabul masail 2/214 bahawala hindiyya wagera) 📝M ibrahim alyani​ ●════════════════════●   *👥 Plz Share to others also 👥*

Qurbani kis per wajib he?? 

*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰              ​📣 *Masala no  3* 📣​ *📜 Sawal :* Qurbani kis per wajib he??  *✅ Jawab :* Qurbani us per wajib he jis me ye chize ho 👇👇 1.. Musalman ho 2.  Aqal wala ho ,, pagal per wajib nahi 3.. Balig ho, , bache per wajib nahi 4.. Muqeem ho,,, musafir per wahib nahi (yani jo shakh qurbani ke tino din me safar me ho us per qurbani wajib nahi) 5.. Us ke paas 612.35 gram chandi ya us ke barabar saman ho 6.. Wo saman zarurat se zaaid ho 7.. Wo maal chahe sona ho chandi ho yaa gharelu saman ho ya zarurat se zaaid ke makanat jaaidad wagera ho 8.. Is me saal guzarna shart nahi Qurbani ki tino din me kabhi bhi itna maal aayega to qurbani wajib hojayegi.. 📗 (Masaile qurbai 117 bi farq) *📝M ibrahim alyani* ●════════════════════● ​ *👥 Plz Share to others also 👥​​*

Qurbani na krne per kya waeed he???

*🌺 Bisillahirrahmanirraheem 🌺​* 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰              *📣 Masala no  2 📣* *📜 Sawal :* Qurbani na krne per kya waeed he??? *✅ Jawab :* Hazrat abu huraira r. Z se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya Jis ke paas gunjaish ho (us per qurbani wajib ho) our us ke bawjud wo qurbani na kare wo hamari eidgah ke qarib bhi na aaye (bayhaqi) 📗 Masaile qurbani 31 (Maulana rafat qasmi) 📝M ibrahim alyani       ●════════════════════● *👥 Plz Share to others also 👥​*

Aaj se Inshaallahu taala roza qurbani ke 2  masale send kiye jayenge

_*ISLAMIC GROUP🌹*_ 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 *🌺Bisillahirrahmanirraheem🌺* *Aaj se Inshaallahu taala roza qurbani ke 2  masale send kiye jayenge * _Sab hazraat padhen amal karen our dusro ko puhonchayen_ *📣 Masala  no  1 📣* 🗒Sawal : Qurbani karne ki kya fazilat he?? 📜Jawab : Hazrat aaisha r. Z se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya ke zil hajja ki 10 tarikh yani eidul azha ke din insan ka koi amal allah taala ko qurbani se zyada mahbub nahi he Our qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo our baalo our khuro ke sath zinda hokar aayega our qurbani ka khun zamin per girne se pehle allah taala ki Riza our maqbuliyat ke maqam per puhonch jata he Pas ae khuda ke bando dil ki puri khushi se qurbaniyan kiya karo ... 📗 (Tirmizi sharif bahawala masaile qurbani 32 bifarqi yasir) ●════════════════════●    *👥  Plz Share to others also 👥*