Posts

Showing posts from August, 2018

Qurbaani(Part-10)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 10  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾          *✿  Qurbaani ki khaal  ✿* *1.* Qurbaani ki khaal ka hukm wahi hai jo qurbaani ke gosht ka hai. Lekin agar khaal bech di to us ki qeemat gareeb ko sadqa kar dena waajib hai. 📓 [Albahrur Raaiq: 8/203, Kitaabul Uzhiyyati, Shaami: 26/264, Kitaabul Uzhiyyati] *2.* Qurbaani ki khaal aur us ka gosht qasaai ya kisi aur ko ujrat mein dena jaaiz nahin hai. 📓 [Shaami: 26/248, 249, Kitaabul Uzhiyyati]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/wqABfs ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Qurbaani(Part-09)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 09  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾         *✿  Qurbaani ka gosht  ✿* ​​​❧ Behtar yeh hai ke qurbaani ke gosht ke 3 hisse kare, ek hissa ghar ke liye rakhe, ek hissa gareebon par sadqa kare aur ek hissa rishtedaaron mein taqseem kare. 📓 [Shaami: 26/262, Kitaabul Uzhiyyati] *​​​​❧ Masla:* Qurbaani ka gosht gair muslimon ko bhi dena jaaiz hai. 📓 [Fataawa Mehmoodiya Jadeed: 17/434] *​​​​❧ Masla:* Agar mayyit ki taraf se nafli qurbaani ki to us ka bhi yahi hukm hai, lekin agar mayyit ki wasiyyat par us ke maal se qurbaani ki hai, to us ke tamaam gosht ka sadqa karna waajib hai. 📓 [Shaami: 26/257, Kitaabul Uzhiyyati]   [[..Next - 10, Soon insha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/wqABfs ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Qurbaani(Part-08)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 08  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾        *✿  Qurbaani ka tareeqa  ✿* ​​​❧ Behtar yeh hai ke apni qurbaani ka jaanwar apne haath se zabah kare, agar khud na kar sake to doosre se zabah karaaye aur khud saamne khada rahe. 📓 [Shaami: 26/260, Kitaabul Uzhiyyati] *​​​❧ Masla:* Jaanwar ki gardan mein 4 ragein hoti hain: Ek giza ke liye, Ek saans ke liye aur 2 khoon ke liye, in mein se 3 ka kat jaana zaroori hai, agar sirf 2 kateen to yeh jaanwar murdaar hoga. 📓 [Shaami: 26/151, Kitaabuz Zabaaeh] *​​​❧ Masla:* Jaanwar zabah karne ke baad jab tak jaan poori tarah nikal na jaaye aur izteraabi kaifiyat khatm na hojaaye, us waqt tak chamde ka chheelna, gardan ka alag karna ya jism ke kisi hisse ka kaatna makrooh hai. 📓 [Shaami: 26/156, Kitaabuz Zabaaeh]   [[..Next - 09, Soon insha Allah..]]    ✍🏻

Qurbaani(Part-07)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 07  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾        *✿  Qurbaani ka tareeqa  ✿* ​​​❧ Qurbaani karne ka tareeqa yeh hai ke jaanwar ko baayeen karwat par is tarah litaaye ke us ka munh qible ki taraf ho aur pairon ko baandhde, phir yeh dua padhe: إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَأوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ (Innee wajjahtu wajhiya lillazee fatarassamaawaati wal arza haneefanw wamaa anaa minal mushriqeena inna salaatee wa nusuki wa mahyaaya wa mamaatee lillaahi rabbil aalameena laa shareeka lahoo wa bizaalika umirtu wa anaa awwalul muslimeen) 📓 [Ibne Maaja: 3121] ​​​❧ Yeh dua padhne ke baad jis ki taraf se qurbaani kar

Qurbaani(Part-06)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 06  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ *✿ Aibdaar jaanwar ki qurbaani ✿* *(1)* Aisa jaanwar jis ka kaan ya dum tihaai ya tihaai se ziyaada kat gai ho, us ki qurbaani durust nahin hai. 📓 [Shaami: 26/248-249, Kitaabul Uzhiyyati] *(2)* Andhe jaanwar ki qurbaani durust nahin hai. 📓 [Shaami: 26/247, Kitaabul Uzhiyyati] *(3)* Aisa langda jaanwar jo 3 paaon se chalta ho, chautha paaon zameen par rakhta hi na ho ya chautha paaon rakhta ho, magar us se chal na sakta ho, to us ki qurbaani durust na hogi. Aur agar chalte waqt chautha paaon zameen par rakhta ho aur chalne mein us se sahaara leta ho, to us ki qurbaani durust hai. 📓 [Shaami: 26/248, Kitaabul Uzhiyyati] *(4)* Jis jaanwar ke bilkul daant na hon, us ki qurbaani durust nahin hai lekin agar bagair daant ke bhi chaara kha sakta ho, to us ki qurba

Qurbaani(Part-05)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 05  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾         *✿ Qurbaani ke jaanwar ✿* *1. Bade Jaanwar:* 1) Oont, oontni kam az kam 5 saal ke hon. 2) Gaaye, bail, bhains kam az kam 2 saal ke hon. Bade jaanwar ki qurbaani mein ziyaada se ziyaada 7 aadmi shareek ho sakte hain. 📓 [Shaami: 26/221,241, Kitaabul Uzhiyyati] *2. Chhote jaanwar:* Dumba, bakra, bakri ya bhed, kam az kam ek saal ka hona chaahiye. Albatta 6 maheene ka dumba ya bhed itna mota taaza ho ke saal bhar ka maaloom hota ho, to aisi soorat mein us ki qurbaani durust hai. Chhote jaanwar ki qurbaani ek hi aadmi ki taraf se hoti hai. 📓 [Shaami: 26/241, Kitaabul Uzhiyyati] *​❧ Masla:* Qurbaani ka jaanwar umda, mota aur tandrust ho, us mein aib na ho. jitna achchha aur jitna qeemti hoga utna ziyaada sawaab milega. 📓 [Shaami: 26/281, Kitaabul Uzhiyy

  Qurbaani(Part-04)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 04  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ *✿ Qurbaani kis par waajib hai?* *❧ Tambeeh:* Baaz log qurbaani ko haj ki tarah samajh kar umr mein ek dafa kar lene ko kaafi samajhte hain, yeh badi galti hai. Har maalike nisaab par har saal qurbaani zaroori hai. *❧ Masla:* Ek ghar mein jitne afraad saahabe nisaab hon, un sab par alaaheda alaaheda qurbaani waajib hogi, ek qurbaani ghar ke tamaam afraad ki taraf se kaafi nahin hogi. 📓 [Shaami: 26/214, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Kisi shakhs par qurbaani waajib thi aur us ne qurbaani nahin ki aur qurbaani ke teenon din guzar gaye, to us par ek bakra ya us ki qeemat sadqa karna waajib hai aur agar jaanwar khareed liya tha aur 3 dinon mein qurbaani nahin ki thi, to usi jaanwar ko sadqa karde. 📓 [Shaami: 26/236, Kitaabul Uzhiyyati]   [[..Next - 05, Soon in

Qurbaani (Part-3)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 03  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ *✿ Qurbaani kis par waajib hai?* ❧ Qurbaani har aise muqeem musalmaan mard aur aurat par waajib hai jo qurbaani ke dinon mein nisaabe zakaat ka maalik ho ya us ke paas nisaab ki qeemat ke baqadr istemaal se zaaid kapde, bartan, furniture, zeb-o-zeenat aur aaraaish ke saamaan ya zaroorat se ziyaada makaan ya zameen ho. 📓 [Shaami: 26/214, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Musaafir par qurbaani waajib nahin hai. Albatta agar 12 Zil Hijja ko guroobe aaftaab se pehle musaafir ghar laut aaya ya kisi jagah 15 din qayaam ka iraada kar liya, to us par qubaani wajib ho jaayegi. 📓 [Shaami: 26/210, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Qurbaani ke waajib hone ke liye maal par saal ka guzarna shart nahin hai, lihaaza agar koi shakhs qurbaani ke 3 dinon mein se kisi din bhi nisaab

Qurbaani [Part - 02]

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 02  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾          *✿  Qurbaani ka waqt  ✿* ❧  10th Zil Hijja ki subah se 12th Zil Hiija ke guroob aaftaab tak qurbaani ka waqt hai. In 3 dinon mein se jis din chaahein qurbaani karein, magar 10 taareekh ka din sab se behtar hai, raat mein bhi qurbaani karna jaaiz hai magar behtar nahin hai. 📓 [Shaami: 26/222-236, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Jahaan Eid ki namaaz hoti hai, wahaan Eid ki namaaz se pehle qurbaani karna durust nahin hai; Albatta aisa dehaat jahaan Eid ki namaaz nahin hoti, wahaan subah saadiq ke baad qurbaani karna durust hai. 📓 [Shaami: 26/229, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Agar koi shehri apni qurbaani kisi aise dehaat mein karaaye jahaan Eid ki namaaz nahin hoti, to subah saadiq ke baad qurbaani durust hai. 📓 [Shaami: 26/229, Kitaabul Uzhiyyati]

Qurbaani [Part - 01]

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 01  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾       *✿  Qurbaani ke Masaail  ✿* ❧ Eid-ul-Azha ki qurbaani Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki us qurbaani ki yaadgaar hai jo unhon ne apne pyaare bete Hazrat Ismaail Alaihissalam ko qurbaan kar ke qaaim ki hai. ❧ Eid-ul-Azha ke din qurbaani ki badi fazeelat hai. Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Eid-ul-Azha ke din Aadam ke bete (insaan) ka koi amal Allah Ta'ala ko qurbaani se ziyaada mehboob nahin aur qurbaani ka jaanwar qayaamat ke din apni seengon, baalon aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se pehle Allah Ta'ala ki raza aur maqbooliyat ke muqaam par pahonch jaata hai, pas aye Allah ke bando! Dil ki poori khushi se qurbaani kiya karo. 📓 [Ibne Maaja: 3126] ❧ Agar koi shakhs istita'at ke baawajood qurbaani na kare to aisa