Qurbaani [Part - 02]
✯✰✮
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*❖ Qurbaani ❖*
*❂ Part - 02 ❂*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾
*✿ Qurbaani ka waqt ✿*
❧ 10th Zil Hijja ki subah se 12th Zil Hiija ke guroob aaftaab tak qurbaani ka waqt hai. In 3 dinon mein se jis din chaahein qurbaani karein, magar 10 taareekh ka din sab se behtar hai, raat mein bhi qurbaani karna jaaiz hai magar behtar nahin hai.
📓 [Shaami: 26/222-236, Kitaabul Uzhiyyati]
*❧ Masla:* Jahaan Eid ki namaaz hoti hai, wahaan Eid ki namaaz se pehle qurbaani karna durust nahin hai; Albatta aisa dehaat jahaan Eid ki namaaz nahin hoti, wahaan subah saadiq ke baad qurbaani karna durust hai.
📓 [Shaami: 26/229, Kitaabul Uzhiyyati]
*❧ Masla:* Agar koi shehri apni qurbaani kisi aise dehaat mein karaaye jahaan Eid ki namaaz nahin hoti, to subah saadiq ke baad qurbaani durust hai.
📓 [Shaami: 26/229, Kitaabul Uzhiyyati]
[[..Next - 03, Soon insha Allah..]]
✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
*Download App* goo.gl/wqABfs
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾
Comments
Post a Comment