Qurbaani (Part-3)

✯✰✮

      ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦

                *❖  Qurbaani  ❖*

                 *❂  Part - 03  ❂*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

*✿ Qurbaani kis par waajib hai?*

❧ Qurbaani har aise muqeem musalmaan mard aur aurat par waajib hai jo qurbaani ke dinon mein nisaabe zakaat ka maalik ho ya us ke paas nisaab ki qeemat ke baqadr istemaal se zaaid kapde, bartan, furniture, zeb-o-zeenat aur aaraaish ke saamaan ya zaroorat se ziyaada makaan ya zameen ho.

📓 [Shaami: 26/214, Kitaabul Uzhiyyati]

*❧ Masla:* Musaafir par qurbaani waajib nahin hai. Albatta agar 12 Zil Hijja ko guroobe aaftaab se pehle musaafir ghar laut aaya ya kisi jagah 15 din qayaam ka iraada kar liya, to us par qubaani wajib ho jaayegi.

📓 [Shaami: 26/210, Kitaabul Uzhiyyati]

*❧ Masla:* Qurbaani ke waajib hone ke liye maal par saal ka guzarna shart nahin hai, lihaaza agar koi shakhs qurbaani ke 3 dinon mein se kisi din bhi nisaab ke baqadr maal ka maalik hojaaye, to us par qurbaani waajib ho jaayegi.

📓 [Shaami: 26/211, Kitaabul Uzhiyyati]

  [[..Next - 04, Soon insha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/wqABfs
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Comments

Popular posts from this blog

Kia sadqa fitr (fatrana) sirf gandum k hisaab se hi dena chahey ya .?? Jase aaj kal Ameer,Gareeb sab gandum se hi ada kar dete  hen.?

wo kon si cheezen hen jin se roza toot jata he or roze ki sirf qaza wajib hoti he kaffara wajib nahi hota.?