Qurbaani(Part-06)

✯✰✮

      ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
         *Bismillahirrahmanirrahim*
      ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦

                *❖  Qurbaani  ❖*

                 *❂  Part - 06  ❂*
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

*✿ Aibdaar jaanwar ki qurbaani ✿*

*(1)* Aisa jaanwar jis ka kaan ya dum tihaai ya tihaai se ziyaada kat gai ho, us ki qurbaani durust nahin hai.

📓 [Shaami: 26/248-249, Kitaabul Uzhiyyati]

*(2)* Andhe jaanwar ki qurbaani durust nahin hai.

📓 [Shaami: 26/247, Kitaabul Uzhiyyati]

*(3)* Aisa langda jaanwar jo 3 paaon se chalta ho, chautha paaon zameen par rakhta hi na ho ya chautha paaon rakhta ho, magar us se chal na sakta ho, to us ki qurbaani durust na hogi. Aur agar chalte waqt chautha paaon zameen par rakhta ho aur chalne mein us se sahaara leta ho, to us ki qurbaani durust hai.

📓 [Shaami: 26/248, Kitaabul Uzhiyyati]

*(4)* Jis jaanwar ke bilkul daant na hon, us ki qurbaani durust nahin hai lekin agar bagair daant ke bhi chaara kha sakta ho, to us ki qurbaani durust hai.

📓 [Shaami: 26/250, Kitaabul Uzhiyyati]

*(5)* Jis jaanwar ke paidaaish hi se kaan na hon, us ki bhi qurbaani durust nahin hai. Aur agar kaan bilkul chhote hon, to us ki qurbaani durust hai.

📓 [Shaami: 26/250, Kitaabul Uzhiyyati]

*(6)* Jis jaanwar ke paidaaish hi se seeng nahin hain ya seeng to the lekin toot gaye, us ki qurbaani durust hai, albatta agar seeng bilkul jad se ukhad gaye hon aur dimaag ke andar ka gooda ya haddi zaahir ho, to us ki qurbaani durust nahin hai.

📓 [Shaami: 26/248, Kitaabul Uzhiyyati]

*(7)* Aisa dubla aur maryal jaanwar jis ki haddiyon mein gooda bilkul na ho, us ki qurbaani durust nahin hai.

📓 [Shaami: 26/247, Kitaabul Uzhiyyati]

*​​❧ Masla :* Khassi jaanwaron ki qurbaani afzal hai.

📓 [Shaami: 26/247, Kitaabul Uzhiyyati]

  [[..Next - 07, Soon insha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book

   *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/wqABfs
✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Comments