Posts

Showing posts from 2018

Qurbaani(Part-10)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 10  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾          *✿  Qurbaani ki khaal  ✿* *1.* Qurbaani ki khaal ka hukm wahi hai jo qurbaani ke gosht ka hai. Lekin agar khaal bech di to us ki qeemat gareeb ko sadqa kar dena waajib hai. 📓 [Albahrur Raaiq: 8/203, Kitaabul Uzhiyyati, Shaami: 26/264, Kitaabul Uzhiyyati] *2.* Qurbaani ki khaal aur us ka gosht qasaai ya kisi aur ko ujrat mein dena jaaiz nahin hai. 📓 [Shaami: 26/248, 249, Kitaabul Uzhiyyati]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/wqABfs ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Qurbaani(Part-09)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 09  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾         *✿  Qurbaani ka gosht  ✿* ​​​❧ Behtar yeh hai ke qurbaani ke gosht ke 3 hisse kare, ek hissa ghar ke liye rakhe, ek hissa gareebon par sadqa kare aur ek hissa rishtedaaron mein taqseem kare. 📓 [Shaami: 26/262, Kitaabul Uzhiyyati] *​​​​❧ Masla:* Qurbaani ka gosht gair muslimon ko bhi dena jaaiz hai. 📓 [Fataawa Mehmoodiya Jadeed: 17/434] *​​​​❧ Masla:* Agar mayyit ki taraf se nafli qurbaani ki to us ka bhi yahi hukm hai, lekin agar mayyit ki wasiyyat par us ke maal se qurbaani ki hai, to us ke tamaam gosht ka sadqa karna waajib hai. 📓 [Shaami: 26/257, Kitaabul Uzhiyyati]   [[..Next - 10, Soon insha Allah..]]    ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​​​​​ goo.gl/wqABfs ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾

Qurbaani(Part-08)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 08  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾        *✿  Qurbaani ka tareeqa  ✿* ​​​❧ Behtar yeh hai ke apni qurbaani ka jaanwar apne haath se zabah kare, agar khud na kar sake to doosre se zabah karaaye aur khud saamne khada rahe. 📓 [Shaami: 26/260, Kitaabul Uzhiyyati] *​​​❧ Masla:* Jaanwar ki gardan mein 4 ragein hoti hain: Ek giza ke liye, Ek saans ke liye aur 2 khoon ke liye, in mein se 3 ka kat jaana zaroori hai, agar sirf 2 kateen to yeh jaanwar murdaar hoga. 📓 [Shaami: 26/151, Kitaabuz Zabaaeh] *​​​❧ Masla:* Jaanwar zabah karne ke baad jab tak jaan poori tarah nikal na jaaye aur izteraabi kaifiyat khatm na hojaaye, us waqt tak chamde ka chheelna, gardan ka alag karna ya jism ke kisi hisse ka kaatna makrooh hai. 📓 [Shaami: 26/156, Kitaabuz Zabaaeh]   [[..Next - 09, Soon insha Allah..]]    ✍🏻

Qurbaani(Part-07)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 07  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾        *✿  Qurbaani ka tareeqa  ✿* ​​​❧ Qurbaani karne ka tareeqa yeh hai ke jaanwar ko baayeen karwat par is tarah litaaye ke us ka munh qible ki taraf ho aur pairon ko baandhde, phir yeh dua padhe: إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَأوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ (Innee wajjahtu wajhiya lillazee fatarassamaawaati wal arza haneefanw wamaa anaa minal mushriqeena inna salaatee wa nusuki wa mahyaaya wa mamaatee lillaahi rabbil aalameena laa shareeka lahoo wa bizaalika umirtu wa anaa awwalul muslimeen) 📓 [Ibne Maaja: 3121] ​​​❧ Yeh dua padhne ke baad jis ki taraf se qurbaani kar

Qurbaani(Part-06)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 06  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ *✿ Aibdaar jaanwar ki qurbaani ✿* *(1)* Aisa jaanwar jis ka kaan ya dum tihaai ya tihaai se ziyaada kat gai ho, us ki qurbaani durust nahin hai. 📓 [Shaami: 26/248-249, Kitaabul Uzhiyyati] *(2)* Andhe jaanwar ki qurbaani durust nahin hai. 📓 [Shaami: 26/247, Kitaabul Uzhiyyati] *(3)* Aisa langda jaanwar jo 3 paaon se chalta ho, chautha paaon zameen par rakhta hi na ho ya chautha paaon rakhta ho, magar us se chal na sakta ho, to us ki qurbaani durust na hogi. Aur agar chalte waqt chautha paaon zameen par rakhta ho aur chalne mein us se sahaara leta ho, to us ki qurbaani durust hai. 📓 [Shaami: 26/248, Kitaabul Uzhiyyati] *(4)* Jis jaanwar ke bilkul daant na hon, us ki qurbaani durust nahin hai lekin agar bagair daant ke bhi chaara kha sakta ho, to us ki qurba

Qurbaani(Part-05)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 05  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾         *✿ Qurbaani ke jaanwar ✿* *1. Bade Jaanwar:* 1) Oont, oontni kam az kam 5 saal ke hon. 2) Gaaye, bail, bhains kam az kam 2 saal ke hon. Bade jaanwar ki qurbaani mein ziyaada se ziyaada 7 aadmi shareek ho sakte hain. 📓 [Shaami: 26/221,241, Kitaabul Uzhiyyati] *2. Chhote jaanwar:* Dumba, bakra, bakri ya bhed, kam az kam ek saal ka hona chaahiye. Albatta 6 maheene ka dumba ya bhed itna mota taaza ho ke saal bhar ka maaloom hota ho, to aisi soorat mein us ki qurbaani durust hai. Chhote jaanwar ki qurbaani ek hi aadmi ki taraf se hoti hai. 📓 [Shaami: 26/241, Kitaabul Uzhiyyati] *​❧ Masla:* Qurbaani ka jaanwar umda, mota aur tandrust ho, us mein aib na ho. jitna achchha aur jitna qeemti hoga utna ziyaada sawaab milega. 📓 [Shaami: 26/281, Kitaabul Uzhiyy

  Qurbaani(Part-04)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 04  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ *✿ Qurbaani kis par waajib hai?* *❧ Tambeeh:* Baaz log qurbaani ko haj ki tarah samajh kar umr mein ek dafa kar lene ko kaafi samajhte hain, yeh badi galti hai. Har maalike nisaab par har saal qurbaani zaroori hai. *❧ Masla:* Ek ghar mein jitne afraad saahabe nisaab hon, un sab par alaaheda alaaheda qurbaani waajib hogi, ek qurbaani ghar ke tamaam afraad ki taraf se kaafi nahin hogi. 📓 [Shaami: 26/214, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Kisi shakhs par qurbaani waajib thi aur us ne qurbaani nahin ki aur qurbaani ke teenon din guzar gaye, to us par ek bakra ya us ki qeemat sadqa karna waajib hai aur agar jaanwar khareed liya tha aur 3 dinon mein qurbaani nahin ki thi, to usi jaanwar ko sadqa karde. 📓 [Shaami: 26/236, Kitaabul Uzhiyyati]   [[..Next - 05, Soon in

Qurbaani (Part-3)

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani   ❖*                  *❂  Part - 03  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾ *✿ Qurbaani kis par waajib hai?* ❧ Qurbaani har aise muqeem musalmaan mard aur aurat par waajib hai jo qurbaani ke dinon mein nisaabe zakaat ka maalik ho ya us ke paas nisaab ki qeemat ke baqadr istemaal se zaaid kapde, bartan, furniture, zeb-o-zeenat aur aaraaish ke saamaan ya zaroorat se ziyaada makaan ya zameen ho. 📓 [Shaami: 26/214, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Musaafir par qurbaani waajib nahin hai. Albatta agar 12 Zil Hijja ko guroobe aaftaab se pehle musaafir ghar laut aaya ya kisi jagah 15 din qayaam ka iraada kar liya, to us par qubaani wajib ho jaayegi. 📓 [Shaami: 26/210, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Qurbaani ke waajib hone ke liye maal par saal ka guzarna shart nahin hai, lihaaza agar koi shakhs qurbaani ke 3 dinon mein se kisi din bhi nisaab

Qurbaani [Part - 02]

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 02  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾          *✿  Qurbaani ka waqt  ✿* ❧  10th Zil Hijja ki subah se 12th Zil Hiija ke guroob aaftaab tak qurbaani ka waqt hai. In 3 dinon mein se jis din chaahein qurbaani karein, magar 10 taareekh ka din sab se behtar hai, raat mein bhi qurbaani karna jaaiz hai magar behtar nahin hai. 📓 [Shaami: 26/222-236, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Jahaan Eid ki namaaz hoti hai, wahaan Eid ki namaaz se pehle qurbaani karna durust nahin hai; Albatta aisa dehaat jahaan Eid ki namaaz nahin hoti, wahaan subah saadiq ke baad qurbaani karna durust hai. 📓 [Shaami: 26/229, Kitaabul Uzhiyyati] *❧ Masla:* Agar koi shehri apni qurbaani kisi aise dehaat mein karaaye jahaan Eid ki namaaz nahin hoti, to subah saadiq ke baad qurbaani durust hai. 📓 [Shaami: 26/229, Kitaabul Uzhiyyati]

Qurbaani [Part - 01]

✯✰✮       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦                 *❖  Qurbaani  ❖*                  *❂  Part - 01  ❂* ✾••••••••••••••••✾✽✾••••••••••••••••✾       *✿  Qurbaani ke Masaail  ✿* ❧ Eid-ul-Azha ki qurbaani Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki us qurbaani ki yaadgaar hai jo unhon ne apne pyaare bete Hazrat Ismaail Alaihissalam ko qurbaan kar ke qaaim ki hai. ❧ Eid-ul-Azha ke din qurbaani ki badi fazeelat hai. Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Eid-ul-Azha ke din Aadam ke bete (insaan) ka koi amal Allah Ta'ala ko qurbaani se ziyaada mehboob nahin aur qurbaani ka jaanwar qayaamat ke din apni seengon, baalon aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se pehle Allah Ta'ala ki raza aur maqbooliyat ke muqaam par pahonch jaata hai, pas aye Allah ke bando! Dil ki poori khushi se qurbaani kiya karo. 📓 [Ibne Maaja: 3126] ❧ Agar koi shakhs istita'at ke baawajood qurbaani na kare to aisa

Haj ke Masaail (Part-7)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                   *Haj ke Masaail*                  *●  Part - 07  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ *✿ Kaun kaun si cheezein ehraam mein naajaaiz hain? * *1.* Sila huwa kapda pahenna. 📓[Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam] *2.* Khushki ke jaanwar ka shikaar karna. 📓[Shaami: 8/212, Faslun Fil Ehraam] *3.* Badan ke kisi hisse (sar, daadhi, badan, zere naaf, moonchh wagaira) ke baal katarwaana ya mundaana. 📓[Shaami: 8/217-218, Faslun Fil Ehraam] *4.* Naakhun kaatna. 📓[Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam] *5.* Khushbu ya tel lagaana. 📓[Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam; Shaami: 8/399, Baabul Jinaayaati Fil Haj] *6.* Hambistari karna ya us ki khwaahish ko ubhaarne waali koi baat ya harkat karna. 📓[Shaami: 8/211, Faslun Fil Ehraam] *7.* Sar ya chehra dhaankna. 📓[Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam] *8.* Moze pahenna. 📓[Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam] *

Haj ke Masaail (Part-6)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 06  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾             *✿  Haj ka tareeqa  ✿* ✿ Jab haj ke liye jaana tay hojaaye, to rawaangi se pehle pehle bandon ke jo huqooq zimme mein ho un sab ko ada karde, galtiyon ki maafi maangle, aur gunaahon se tauba wa istigfaar karle, phir safar ke liye nikle, jab meeqaat (ehraam baandhne ki jagah) par pohnche to ehraam baandhle (ehraam ka kapda pahenle aur talbiyah ke saath dil se haj ki niyyat karle) usi waqt se talbiyah padhna shuru karde *(Labbaik allaahumma labbaik, labbaik laashareeka laka labbaik, innal hamda wanne’mata laka wal mulk, laa shareeka laka)* phir jab Makkah pohnche to sab se pehle masjide haraam jaakar tawaafe qudoom kare, tawaaf ke baad 2 rakat namaaz ada kare, us ke baad “Safa Marwah” jaakar saee kare, safa aur marwah ke darmiyaan 7 pheron ko saee kehte

Haj ke Masaail (Part-5)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 05  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾            *✿  Haj ke waajibaat  ✿* *1.* Wuqoofe Muzdalifa yaani 10th Zil Hijjah ki subah saadiq hone ke baad kuchh waqt ke liye muzdalifa mein thhaharna. 📓[Shaami: 8/142, Kitaabul Haj] *2.* Safa aur Marwa ke darmiyaan saee karna (tez chalna). 📓[Shaami: 8/143, Kitaabul Haj] *3.* Jamraat ki rami karna, yaani mina mein 3 jaghein jahaan kankariyaan maari jaati hain un ko kankariyaan maarna. 📓[Shaami: 8/144, Kitaabul Haj] *4.* Qaarin (haj ke dinon mein ek hi ehraam se haj-o-umraah karne waale) aur mutamatte (haj ke dinon mein alag alag ehraam se haj-o-umraah karne waale) ka qurbaani karna. 📓[Shaami: 8/152, Kitaabul Haj] *5.* Sar ke baal mundaana ya kam karaana. 📓[Shaami: 8/145, Kitaabul Haj] *Note :* In waajibaat mein se koi chhoot jaaye to dam yaani mi

Haj ke Masaail (Part-4)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 04  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾             *✿  Haj ke faraaiz  ✿* *1.* Ehraam baandhna, yaani dil se haj ki niyyat karna aur talbiyah padhna. *2.* Wuqoofe Arfa, yaani arfaat ke maidaan mein 9th Zil Hijjah ko zuhar ke waqt se 10th Zil Hijjah ki Fajr se pehle tak kisi bhi waqt thhaharna, agarche ek minute hi ho. *3.* Tawaafe Ziyaarat. *4.* Oopar ki teenon cheezon ko tarteeb se karna yaani pehle ehraam baandhna, phir wuqoofe arfa karna, us ke baad tawaafe ziyaarat karna. 📓[Shaami: 8/140,141, Kitaabul Haj] *Note :* In faraaiz mein se koi farz chhoot jaaye to haj ada nahin hoga. {..Next - 05, Soon In Sha Allah..}   📗Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​​ goo.gl/wqABfs ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾

Haj ke Masaail (Part-3)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 03  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ *✿ Masla :* Jab haj farz hojaaye to faori taur par haj karna waajib hai, bila uzr der karna aur yeh khayaal karna ke abhi umr padi hai, phir kisi saal haj kar leinge, durust nahin, aisa shakhs gunahgaar hoga. 📓[Shaami: 8/109,110, Kitaabul Haj] *✿ Masla :* Agar kisi ke zimme haj farz tha aur us ne susti ki wajah se der kardi, phir woh aisa beemaar hogaya ke safar ke qaabil na raha, to marte waqt yeh wasiyyat karna waajib hai ke meri taraf se haj karaa dena, mar jaane ke baad us ke waariseen us ke ek tihaai maal se kisi aadmi ko kharch dekar bhejein ke woh jaakar marhoom ki taraf se haj kare, aur jo haj us ki taraf se kiya jaata hai, use "Hajje Badal" kehte hain. {..Next - 04, Soon In sha Allah..}   📗Ref: Deeniyat Course book    *Download App*​​​​​​

Haj ke Masaail (Part-2)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 02  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ *✿  Haj ke farz hone ki shartein ✿* *1.* Musalmaan hona. *2.* Aazaad hona. *3.* Aaqil hona. *4.* Baalig hona. 📓[Shaami: 8/113-115, Kitaabul Haj] *5.* Milkiyat mein itna sona chaandi ya rupiya paisa ho, jis ki bina par woh apne maqaam se Makkatul Mukarramah tak aane jaane ke kharch aur wahaan ke zaroori akhraajaat par qaadir ho aur jin logon ka kharch us ke zimme zaroori hai un ko lautaane tak ka kharch de sake, yaa itne rupay ka zaroorat se zaaid makaan, saamaan wagaira ho, aur maal ki yeh miqdaar qarz se khaali ho. 📓[Shaami: 8/117-126, Kitaabul Haj] *6.* Tandurust hona, aisi koi beemaari na ho jis ki wajah se woh safar na kar sakta ho. 📓[Shaami: 8/115, Kitaabul Haj] *7.* Raaste mein jaani ya maali nuqsaan ka khatra na ho. 📓[Shaami: 8/126, Kitaabul H

Haj ke Masaail (Part-1)

✈✈✈       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦          *Bismillahirrahmanirrahim*       ✦••••••••••••✦✿✦••••••••••••✦                  *Haj ke Masaail *                  *●  Part - 01  ●* ✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾ ✿  Haj ke dinon mein Makkatul Mukarrama jaakar khaas aamaal ada karne ko “Haj” kehte hain. Haj ke aamaal ada karne ke din 5 hain: 8th Zil Hijjah se 12th Zil Hijjah tak. Haj zindagi mein sirf ek martaba farz hai. 📓[Shaami: 8/99, Kitaabul Haj] *✿ Fazeelat :* Huzoore Aqdas ﷺ ne farmaaya : Jis shakhs ne khaalis Allah Ta'ala ki raza ke waaste haj kiya aur woh is safar mein buraaiyon, nafsaani khwaahishaat aur ladaai jhagdon se door raha to woh gunaahon se is tarah paak-o-saaf hokar lautega jis tarah bachcha maan ke pet se paida hote waqt gunaahon se paak-o-saaf hota hai. 📓 [Sahih Bukhaari: 1521] ✿ Rasoole Akram ﷺ ne farmaaya : Jis shakhs ke paas khaane peene aur sawaari ka itna kharch ho jis se woh baitullah shareef jaasake phir woh haj na kare, to woh yahoodi

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Masla

Image

Zakaat [Part - 10]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 10 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Masla:* Zakaat ke paise se kunwaan khudwaana, sadak banwaana, masjid ke liye zameen khareedna wagaira jaaiz nahin hai, is liye ke zakaat ki adaayegi ke sahi hone ke liye mustahiq ko is ka maalik banaana shart hai. 📓 [Shaami: 7/226 Baabu Masrafiz Zakaat] *❧ Masla:* Zakaat ki niyyat se qarz maaf karne se zakaat ada nahin hogi. 📓 [Shaami: 6/494, Kitaabuz Zakaat] *❧ Masla:* Kisi ek hi aadmi ko nisaab ke baqadr zakaat ka maal dedena makrooh hai aur jab kisi mustahiq ke paas nisaab ke baqadr maal jama hojaaye to use zakaat dena jaaiz nahin. 📓 [Shaami: 7/256, Baabu Masrafiz Zakaat] *❧ Kin logon ko zakaat dena afzal hai?* ❧ Sab se pehle apne rishtedaar bhaai bahen aur un ki aulaad, chacha, phoophi, khaala, maamoon, saas, sasur, daamaad wagaira mein se jo zarooratmand hon un ko zakaat dena afza

Masla

Image

Zakaat [Part - 09]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 09 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz nahin?* (1) Woh shakhs jis par zakaat farz ho, aisa shakhs shareeat ki nigaah mein "Maaldaar" hai. 📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masrafiz Zakaat] (2) Woh shakhs jis par zakaat to farz na ho lekin zaroorat se zaaid zameen, makaan ya koi aur saamaan furniture, bartan wagaira us ke paas maujood ho aur us ki qeemat nisaab ke baqadr ho. 📓 [Shaami: 7/238, Baabu Masrafiz Zakaat] (3) Maan baap, Daada daadi, Naana naani oopar tak. 📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat] (4) Beta beti, Pota poti, Nawaasa nawaasi neeche tak. 📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat] (5) Shohar, Bivi. 📓 [Shaami: 27/226, Baabu Masrafiz Zakaat] (6) Gair Muslim. 📓 [Shaami: 7/249, Baabu Masrafiz Zakaat] (7) Maaldaar aadmi ki naabaalig aulaad. 📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masra

Masla

Image

Zakaat [Part - 08]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 08 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz hai?* *(1) Faqeer:* Woh shakhs jo saahabe nisaab na ho aur na us ke paas nisaab ke baqadr zaroorat se zaaid saamaan ho. 📓 [Shaami: 7/205, Baabu Masrafiz Zakaat] *(2) Miskeen:* Woh shakhs jis ke paas kuchh bhi na ho. 📓 [Shaami: 7/208, Baabu Masrafiz Zakaat] *(3) Qarzdaar:* Woh shakhs jis ke zimme logon ka qarz ho aur us ke paas itna maal na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi rahe. 📓 [Shaami: 7/219, Baabu Masrafiz Zakaat] *(4) Musaafir:* Woh shakhs jo haalate safar mein mohtaaj hogaya ho (chaahe apne watan mein maaldaar ho) use baqadre zaroorat zakaat dena jaaiz hai. 📓 [Shaami: 7/223, Baabu Masrafiz Zakaat]   [[..Next - 09, Soon In Sha Allah..]]    *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰✸〰❁〰✸

Masla

Image

Zakaat [Part - 07]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 07 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Mutafarriq Masaail ☆* (1) Agar saahabe nisaab banne ki qamri taareekh yaad na ho to gaur-o-fikr ke baad jis taareekh ka zan gaalib ho woh mutayyan hogi. Agar kisi taareekh ka bhi zan gaalib na ho to khud koi qamri taareekh mutayyan karle. 📓 [Ahsanul Fataawa: 4/255] (2) Agar nisaabe zakaat par saal mukammal hone se pehle koi zakaat ada karna chaahe to us ki ijaazat hai. 📓 [Shaami: 7/59, Baabu Zakaatil Ganam] (3) Saal ke darmiyaan jo maal badha us par saal ka guzarna zaroori nahin hai, saal ke mukammal hone se ek din pehle tak jo bhi maal aayega us ki zakaat nikaalna farz hai. 📓 [Shaami: 7/40-46, Baabu Zakaatil Ganam] (4) Agar kisi ke paas nisaab ke baraabar ya us se ziyaada maal hai aur us ke zimme qarz bhi hai to qarz ki miqdaar nikaalne ke baad nisaab ke baqadr maal rehta hai

Masla

Image

Masla

Image

Zakaat [Part - 06]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 06 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *​❧ Zakaat ada karna kab farz hai?* ​❧ Zakaat ka jo nisaab shareeat ne muqarrar kiya hai us ke maalik hone ke baad qamri (islaami) taareekh ke etebar se jis taareekh ko ek saal mukammal hojaaye us taareekh ko zakaat ki adaayegi farz hojaati hai. ​❧ Zakaat ki adaayegi ke liye shareeat mein Ramzaan ka maheena mutayyan nahin hai, balke har aadmi ke liye zakaat ka maheena aur taareekh alag alag hai, jis shakhs ke paas qamri maah ki jis taareekh mein nisaab ke baqadr maal aaye, us ke liye hamesha wahi taareekh zakaat ke hisaab ke liye mutayyan rahegi. Lihaaza woh shakhs usi taareekh mein zakaat ada karne ka ehtemaam kare, Ramzaan ka intezaar na kare, taakheer karna buri baat hai. 📓 [Shaami: 6/485, 497, Kitaabuz Zakaat] ​❧ Maslan ek shakhs 2 Safar 1431H ko pehli baar nisaabe zakaat ka maalik huwa, s

Zakaat [Part - 05]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 05 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Mutafarriq Masaail ☆* (4) Makaan, dukaan, kaarkhaana, bartan, kapde, kitaabein, furniture, silaai machine, gaadi, kiraaye par di jaane waali cheezein, sanati aalaat aur woh machines jo saamaan tayyaar karti hain aur khud baaqi rehti hain chaahe kitni hi qeemat ke hon; un par zakaat farz nahin hai. Aibatta agar un mein se koi bhi cheez tijaarat ki hai, to us par zakaat farz hai. 📓 [Shaami: 6/471, Kitaabuz Zakaat] (5) Sone chaandi ki bani huwi tamaam cheezon par zakaat farz hai. Jaise sone chaandi ke zewraat, bartan, sikke, tamge (medal) wagaira. 📓 [Shaami: 7/76, Baabu Zakaatil Maal] (6) Tijaarat ki garz se jo bhi cheez khareedi jaaye us par zakaat farz hai, khwaah woh zameen ho ya koi aur saamaan, is liye zakaat nikaalte waqt dukaan mein jitni cheezein bechne ki hon in sab ki qeema

Masla

Image

Zakaat [Part - 04]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 04 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Mutafarriq Masaail ☆* (1) Agar kisi ke paas sona ya chaandi donon hon, lekin kisi ek ka nisaab poora na ho, to donon ko mila kar qeemat lagaai jaayegi, agar donon ki qeemat mil kar sone ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ko pahonch jaaye, to zakaat farz hojaayegi. 📓 [Shaami: 7/89, Baabu Zakaatil Maal] (2) Zakaat ada karte waqt ya zakaat ka maal alag karte waqt zakaat ki niyyat zaroori hai, yaani dil mein iraada ho ke zakaat nikaal raha hoon. Bagair niyyat ke zakaat ada na hogi, haan albatta kisi ko zakaat keh kar dena zaroori nahin, balke hadiya keh kar de to bhi zakaat ada hojaayegi. 📓 [Shaami: 6/489, Baabu Zakaatil Maal] (3) Zakaat mein sona, chaandi, tijaarati maal, ya un ki qeemat se kapda, galla ya koi aur saamaan khareed kar dena bhi jaaiz hai. 📓 [Fataawa Daarul Uloom: 6

Masail

Image

Zakaat Masail

Image

Zakaat [Part - 03]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 03 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Kis maal mein zakaat farz hai?* (1) Sona. (2) Chaandi. (3) Rupiye Paise. (4) Maale Tijaarat.(Har woh cheez jise bechne ke iraade se khareeda ho). (5) Zameen ki paidaawaar. (6) Maweshi (Paaltu Jaanwar). *❧ Zakaat ka Nisaab:* Jin maalon mein zakaat farz hai, shareeat ne un ki khaas khaas miqdaar muqarrar kardi hai; mal ki usi khaas miqdaar ko “Nisaab" kehte hain. Jab nisaab ki miqdaar kisi ke paas poori hojaaye, to us par zakaat farz hojaati hai aur aise shakhs ko “Saahabe Nisaab" kehte hain. *(1) Sone ka nisaab:* 87gm 480mlg hai. 📓 [Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254] *(2) Chaandi ka nisaab:* 612gm 360mlg hai. 📓 [Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254] *(3) Rupiye Paise ka nisaab:* Rupiya paisa; sona ya chaandi mein se kisi ek ke n

Ramzaan Masail

Image

Zakaat [Part - 02]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                *​✾ Part - 02 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ *❧ Zakaat farz hone ki shartein:* (1) Musalmaan hona. (2) Aazaad hona. (3) Aaqil hona. (4) Baalig hona. (5) Nisaab ke baqadr maal ka maalik hona. (6) Nisaab ka buniyaadi zarooraton aur qarz se khaali hona. (Saahabe Nisaab par itna qarz na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi na rahe). (7) Nisaab par qamri (Islaami) saal ka guzar jaana. 📓 [Shaami: 6/452-455, Kutaabuz Zakaat] *❧ Buniyaadi Zaroorat:* Rehne ka makaan, pahenne ke kapde, ghar ka saaz-o-saamaan aur istemaal ki sawaari (gaadi) insaan ki buniyaadi zarooraton mein daakhil hain.   [[..Next - 03, Soon In Sha Allah..]]    *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Ramzaan mubarak k har roze ki niyyat alag alag karna zarori he ya pore mahine ki niyyat ek sath bi kar sakte hen.??

*✦✦Bismillahirrahmanirrahim✦✦​* ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🌹MASAILE RAMZAN🌹 SAWAL,. NO....03 Ramzaan mubarak k har roze ki niyyat alag alag karna zarori he ya pore mahine ki niyyat ek sath bi kar sakte hen.?? JAWAB. Ramzaan mubarak k har roze ki niyyat alag alag karna zarori he ek sath pore mahine ki niyyat karna sahi nahi. Note :- Dil se erada karne ko Niyyat kehte hen. 📙:-Ahkaamo Masail      DUA FOR All MUSLIM ✏ⓂMaulana Shahzad •─━━━━━══════━━━━━─• *​​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​​* *​​​​​​​​​​​​​​​​​​

Zakaat [Part - 01]

🍃🍃🍃        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  💸  *Zakaat*  ​💸                                 *​✾ Part - 01 ​✾* ❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁         *☆ Zakaat ke Masaail ☆* ❧ Allah Ta'ala ki raza ke liye apne maal ki muqarrarah miqdaar kisi mustahiq musalmaan ko maalik banaakar dedene ka naam *"Zakaat"* hai. 📓 [Shaami: 6/445, Kitaabuz Zakaat] *❧ Fazeelat:* Zakaat ada karne se maal ki hifaazat hoti hai aur maal ki buraaiyon aur us ke fitnon se aadmi mehfooz hojaata hai, Hadees Shareef mein hai: Jis shakhs ne apne maal ki zakaat ada ki woh maal ke shar (buraai) se mahfooz hogaya. 📓 [Tabraani Ausat: 1579] ❧ Zakaat ada na karne par Qur'aan-o-Hadees mein bahot hi sakht sazaaein bayaan ki gai hain. Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki zakaat ada nahin karte, qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zehreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega aur un ki garda

Roza Masail

Image

Niyyat k begair roza sahi ho ga ya nahi .??

*✦✦Bismillahirrahmanirrahim✦✦* ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🌹MASAILE RAMZAN🌹             MAS,ALA NO..02 SAWAL, Niyyat k begair roza sahi ho ga ya nahi .?? JAWAB. Roze ki niyyat karna zarori he. Niyyat k begair roza nahi ho ga. Note :- Dil se erada karne ko Niyyat kehte hen. 📙:-Taleemul Islaam      DUA FOR ✏ⓂMaulana Shahzad •─━━━━━══════━━━━━─• *​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​* *​​​​​​​​​​​​​​​​

Ramzaan k roze kin logon pr farz hen.?

*✦✦Bismillahirrahmanirrahim✦✦* ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🌹MASAILE RAMZAN🌹             MAS,ALA NO...01 SAWAL, Ramzaan k roze kin logon pr farz hen.? JAWAB. Har muslmaan mard or aurat jo aaqil (yani pagal  na ho) or balig ho us pr ramzaan k roze farz hen. Ramzaan ka roza bila uzar (uzare shar,e) chhorhne wala shakt gunah gaar or faasiq he. Jo nabalig bache ruza rkhne ki quwat rakhte hon un se roze rakhwane chahey. 📙:-Taleemul Islaam      DUA FOR ✏ⓂMaulana Shahzad •─━━━━━══════━━━━━─• *​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​*

Roza Masla

Image

Dua

Image

Namaz Masail

Image

Namaz Masla

Image

"E" Code Wali Cheezein

Image